*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/books/entry_id/626793
Rated: E · Book · Cultural · #1510158
Hindi poems in Hindi script, mainly ghazals, Serial no. 1-700
#626793 added December 30, 2008 at 3:04pm
Restrictions: None
Poems / ghazals no. 201-250, in Hindi script

२०१. dil ke aramaano^ ko dil me^ hee machalane do

dil ke aramaano^ ko dil me^ hee machalane do
rusavaaee bahut hogee dil se na nikalane do

is baag-e-bayaabaa^ me^ khushaboo hai na gunche hai^
kaagaz ke mahaz ham ko phoolo^ se bahalane do

na josh hai dil me^ na baaho^ me^ kashish meree
in pyaasee nigaaho^ ko hasarat se fisalane do

gam zabt karoge to baarood saa phooTegaa
tum dard akele me^ ashko^ me^ pighalane do

paravaanaa na jal paayaa kyaa jee ke kiyaa haasil
mat roko khalish us ko tum shamma me^ jalane do


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१ अक्तूबर २००४









२०२. ham teer mohabbat ke chhup chhup ke chalaate hai^

ham teer mohabbat ke chhup chhup ke chalaate hai^
deevaane hai^ auro^ ko deevaanaa banaate hai^

rakhate hai^ ta-aalluk dil aur ishq kee duniyaa se
auro^ ke tasavvur me^ ham khwaab jagaate hai^

in pyaar kee raaho^ me^ hai^ phool bhee kaanTe bhee
ham jin ko hansaate hai^ un ko hee rulaate hai^

rahnaa hoshiaar jaraa in chhalakate jaamo^ se
ye mai ke bahaane se bas zahar pilaate ha^

chalanaa in raaho^ par rakh jaan hathelee pe
kaatil hai^ hasee^ aise nazaro^ se lubhaate hai^

deevaana khalish ham ko duniyaa jo samajhatee hai
ham hai^ ki zamaane ko deewaanaa bataate hai^.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
२ अक्तूबर २००४













२०३. kitanee hai mohabbat ham ek din ye dikhaa de^ge


kitanee hai mohabbat ham ek din ye dikhaa de^ge
milane ko sanam tum se ham umr bitaa de^ge

ham aap kee khaatir hee jeete hai^ jahaa^ me^ ab
mumakin hai nahee^ dil se ham tum ko bhulaa de^ge

chhoDo ye jhijhak apanee kyon ishq se Darate ho
andaaz mohabbat ke ham tum ko sikhaa de^ge

mahafil me^ jikar hogaa jab teree zafaao^ kaa
dil par jo guzaree hai wo ham bhee sunaa de^ge

gar aap na mil paaye ham jee ke kare^ge kyaa
naakaam rahe gar ham ye jaan ga^waa denge

ham chhoD chale duniyaa soorat to dikhaa jaao
do nain piyaase ye mar ke bhee duaa de^ge

ab khalish mile^ge ham bas agale janam me^ hee
ye karam mohabbat ke itanaa to silaa de^ge.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
२ अक्तूबर २००४















२०४. kadamo^ me^ tumhaare ham baiThe hai^ zamaane se

kadamo^ me^ tumhaare ham baiThe hai^ zamaane se
parahez tumhe^ kyo^ hai is dil ko lagaane se

ab lauT nahee^ sakate baakaram mohabbat ke
ghar se to chale the ham milane ke bahaane se

barabaad mohabbat kee gam hee to nishaanee hai
tauheen mohabbat kee hai gam ko bhulaane se

patthar ke bane dil par kuchh bhee na asar hogaa
andaaz mohabbat ke sau tarah jataane se

wo ho na sake apane kyaa hogaa khalish haasil
afasaanaa mohabbat kaa ro ro ke sunaane se.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
३ अक्तूबर २००४















२०५. duniyaa ke andhero^ me^ ek shamma jalaanaa hai

duniyaa ke andhero^ me^ ek shamma jalaanaa hai
aalam-e-fizaa^ ujaDe is chaman me^ laanaa hai

mazahab ke maare tum kyon jaan ke pyaase ho
sulagee huee duniyaa ko paigaam sunaanaa hai

hindoo aur musalim ko aapas me^ laDawaanaa
mazahab kee siyaasat kaa andaaz puraanaa hai

us ek khudaa ne hee dono^ ko banaayaa hai
nafarat se bhare dil me^ ulafat ko jagaanaa hai

ek watan hai dono^ kaa ek kaum hai dono^ kee
mazahab ko siyaasat se purazor haTaanaa hai

hindoo musalim dono^ naujawaa^ chalo uTTho
tum ko hee khalish aage ye watan baDhaanaa hai.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
३ अक्तूबर २००४










२०६. hai pyaar me^ ashko^ kee daulat hee milee ham ko

hai pyaar me^ ashko^ kee daulat hee milee ham ko
seene se lagaate hai^ har waqt tere gam ko

gir jaao mere dil par ye khaak me^ mil jaaye
bijalio zamaane kee tum ban ke balaa chamako

duniyaa-e-mohabbat me^ haaraa hai koee jeetaa
hai^ past hue wo bhee jo Thokate the kham ko

jab TooT ke ek din to giranaa hai tumhe^ aakhir
ai paayal ke ghungharoo purazor jaraa khanako

mastee na khalish kam ho is shab-e-akheeree me^
ai kadam-e-rakkaasee bal khaa ke jaraa Thumako.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
४ अक्तूबर २००४












२०७. wo kuchh bhee nahee^ kah kar sab kuchh kah jaate hai^

wo kuchh bhee nahee^ kah kar sab kuchh kah jaate hai^
belafz zubaa^ se wo ham ko bharamaate hai^

wo lab se nahee^ kahte kahte hai^ ishaaro^ se
kyaa kah ke na jaane wo khud hee sharmaate hai^

ek pal me^ wo hansate hai^ dooje pal rote hai^
in naaz-o-adaao^ par ham jaan luTaate hai^

kuchh khaas unhe^ shaayad ashko^ se mohabbat hai
pahale khud rote hai^ phir ham ko rulaate hai^

kuchh to pahale hee the ham pyaar me^ deewaane
kuchh jaam pilaa ke wo deewaanaa banaate hai^

inakaar zubaa^ pe hai iqaraar hai aankho^ me^
laachaar hai^ fitarat se ulfat me^ sataate hai^

ham ko ye gawaaraa hai^ sab sitam mohabbat ke
shukariyaa khalish ham se wo dil to lagaate hai^.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
४ अक्तूबर २००४











२०८. aa jao duaa de^ge

aa jaao duaa de^ge
yaa jaan gawaa^ de^ge

raah takate hai^ un kee
aaye^ge dawaa de^ge

zaalim hai^ log sabhee
sholo^ ko hawaa de^ge

tarq-e-mohabbat kee
sa^g dil hai^ salaah de^ge

duniyaa se na ghabaraanaa
ham in ko dagaa de^ge

ham apane khayaalo^ me^
shaq ko na jagaah de^ge

silaa un kee zafaao^ kaa
ham kar ke wafaa de^ge

wo ham ko khalish ek din
kadamo^ me^ panaah de^ge.


महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
५ अक्तूबर २००४









२०९. Jo dil ko lagaate hai^

Jo dil ko lagaate hai^
Akasar pachhataate hai^

Ek aag ke dariyaa me^
Kishtee ko chalaate hai^

deewaane phirate hai^
raato^ ko karaahte hai^

koee poochhe wazah un se
to saaf chhupaate hai^

dil me^ to rote hai^
zaahir muskaate hai^

sab sitam mohabbat ke
hans hans ke uThaate hai^

sachche aashiq to khalish
soolee chaDh jaate hai^.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
५ अक्तूबर २००४









२१०. ye zulf na rah jaaye bin un ke sanwaare hee

ye zulf na rah jaaye bin un ke sanwaare hee
bahate na rahe^ har dam do aankh ke dhaare hee

ye umr hee chuk jaayegee tum ko manaane me^
phirate na rahe^ tere ham ishq ke maare hee

jo ham ko sar-e-mahafil deewaanaa bataate hai^
phirate the deewaane kal talak hamaare hee

ham jaan se bhee pyaare the jin ke liye pahale
dushman hai^ bane baiThe insaan wo saare hee

soorat jo dikhaate ham ahsaan samajhate the
aane kee naheen furasat ab mere dawaare hee

aa jaao mohabbat mai^ itanaa to na taDapaao
sab shikawe bhulaa de^ge ham hai^ to tumhaare hee

sookhaa hai khalish dekho mauzo^ se bharaa dariyaa
ab sirf nishaanee hai^ do TooTe kinaare hee.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
६ अक्तूबर २००४









२११. ham un kee nishaanee ko seene se lagaate hai^

ham un kee nishaanee ko seene se lagaate hai^
itanaa to bataa de^ wo ham bhee yaad aate hai^

koee wo bhee zamaanaa thaa pahaloo me^ rahate the
ab ham se milane ko kyo^kar kataraate hai^

ajanabee sareekhe wo milate hai^ raaho^ me^
ab to yoo^ lagataa hai wo ham ko bhulaate hai^

ek dil hee to chaahaa thaa kuchh aur nahee^ maangaa
kyaa ishq zamaane me^ nahee^ log nibhaate hai^

maanaa ki tumhe^ furasat duniyaa se nahee^ lekin
jo khud hee sataaye ho^ kyaa un ko sataate hai^

tum bin jeeye^ kaise aa jaao khalish waranaa
pyaasee aankho^ se ham duniyaa se jaate hai^

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
६ अक्तूबर २००४













२१२. nafarat hai agar ham se kyo^ pyaar jataate hai^

nafarat hai agar ham se kyo^ pyaar jataate hai^
milanaa hee naheen hai to kyo^ paas bulaate hai^

koee shaam bhee hogee jab tum bhool se aaoge
ye soch ummeedo^ ke ham khwaab sajaate hai^

ek baar to aa jaao dikhalaa do hame^ soorat
tasaweer tanhaaee me^ kaagaz pe banaate hai^

bandish to nahee^ un par ulafat me^ lagaaee hai
kyo^ jhooThee mohabbat kaa ahasaas dilaate hai^

ham tarq-e-mohabbat kee bhee sazaa ko sah le^ge
ham ko lab seene ke andaaz bhee aate hai^

haragiz na kabhee waapas tum lauT ke aaoge
mushkil se bahut dil se ye khyaal haTaate hai^

aa jaao khalish ab to ek umr hee guzaree hai
mazaboot bahut kar ke dil ko samajhaate hai^.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
७ अक्तूबर २००४




२१३. ro ro ke mohabbat me^ din ham ne guzaare hai^

ek baar to bhoole se mahafil me^ meree aao
yaa phir na kabhee kahnaa ham sirf tumhaare he^

aate to wo hai^ milane par sirf khwaabo^ me^
kahte hai^ magar phir bhee ham jaan se pyaare hai^

paigaam hamaaraa ye pahu^chaa de koee un tak
jeete hai^ jahaa^ me^ ham bas un ke sahaare hai^

basate hai^ bahut yoo^ to duniyaa-e-mohabbat me^
maharoom hai aashiq se kuchh ham se bechaare hain.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
७ अक्तूबर २००४





२१४. ham se na kabhee kahnaa ki chhoD ke jaaoge

ham se na kabhee kahnaa ki chhoD ke jaaoge
jaaoge to ye jaano dil toD ke jaaoge

ham baat pe jaane kee ye jaan luTaa de^ge
dekhe^ge na wo din jab mu^h moD ke jaaoge

in pyaar kee raaho^ me^ khaaoge bahut dhokhaa
naataa jo paraayo^ se tum joD ke jaaoge

dil kaise churaaoge nazaro^ se khalish apanee
maanaa ki sharaafat ko tum oDh ke jaaoge.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
८ अक्तूबर २००४










२१५. mohabbat kee raaho^ me^ ham Dagamagaaye


mohabbat kee raaho^ me^ ham Dagamagaaye
kabhee in me^ roye kabhee musakaraaye

manzar wo dekhe hai in raasto^ me^
samajh kar bhee in ko samajh ham na paaye

kuchh gam nahee^ gar na manzil milee hai
yaade^ safar kee hai^ dil me^ basaaye

ye kyaa kam hai wo bhee kabhee the hamaare
rahe^ khush wo go ab hai^ ham se paraaye

asal me^ khataa thee hamaaree hee un se
rahe ham mohabbat ko apanee chhupaaye

khafaa wo na ho jaaye^ is Dar ke maare
unhee^ se rahe ham khud ko churaaye

guzare dino^ ko khalish bhool jaao
jo beete hai^ wo din bulaaye na aaye.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
८ अक्तूबर २००४












२१६. pahaloo me^ mere tum ho nazaaraa dekhoo^

pahaloo me^ mere tum ho nazaaraa dekhoo^
khwaab hakeekat me^ khudaaraa dekhoo^

dooriyaa^ darmyaa^ kee khatam ho jaaye^
husn mai^ beparadaa tumhaaraa dekhoo^

ajanabee jab pyaar ke bandhan me^ bandhe
lamahaa-o-manzar wo dubaaraa dekhoo^

sitm zamaane ke pareshaan kare^
koee ek hasee^ apanaa sahaaraa dekhoo^

toofaan uThe ishq kee dariyaa me^ khalish
aur TooTataa mauzo^ se kinaaraa dekhoo^

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
९ अक्तूबर २००४





२१७. dost mere alavidaa ai pyaar mere alavidaa

dost mere alavidaa ai pyaar mere alavidaa
dostee aur Pyaar ke etabaar mere alavidaa

naa pareshaa^ phir kare^ge kah ke dil kaa haal ham
ab na hogaa Pyaar kaa izahaar mere alavidaa

aakhiree shab hai mile^ge ab na ye do dil kabhee
kyaa karoo^ ai ishq ke khumaar mere alavidaa

ab samandar ke hawaale kar chuke kishtee ko ham
kuchh nahee^ hai aaj akhtiaar mere alavidaa

zindagee ke aakhiree is moD par haafiz khudaa
khalish kaa ai dost baar baar mere alavidaa

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
९ अक्तूबर २००४
एद

kal tak the jin ke dar pe ham tashareef mere ghar laaye hai^
jo kal tak the dil ke dar par pe tashareef mere dar laaye hai^






२१८. kal tak the jin ke dar pe ham tashareef mere ghar laaye hai^



kal tak the jin ke dar pe ham tashareef mere ghar laaye hai^
ham un ko yahaa^ tak to aakhir baakaram khudaa le aaye hai^



ye aalam hai ab ulfat me^ duniyaa kaa ham ko hosh nahee^
Doobe hai^ khayaalo^ me^ un ke dil pe un ke hee saaye hai^


sunate the pyaar nahee^ chhupataa chehare se bayaa^ ho jaataa hai
dekhaa hai khud ko sheeshe me^ aur dekh ke ham sharamaaye hai^

kyaa pyaar unhe^ ham se bhee hai yaa pyaar meraa ek tarafaa hai
jab jab ye khyaal sataataa hai tanahaaee me^ bharamaaye hai^


anajaan hai^ pyaar kee raaho^ se ab tak to sirf ibtadaa hai
aage aage kyaa hogaa ham ye soch khalish ghabaraaye hai^.

*********


M C Gupta ‘Khalish’
10 October 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44







२१९. kuchh aise khayaalo^ se bahalaate hai^ gam ko


kuchh aise khayaalo^ se bahalaate hai^ gam ko
jo shai hai mohabbat kee wo raas nahee^ ham ko

jab un kaa khayaal aataa hai dam saa nikalataa hai
mushkil se bahut baiThe hai^ thaam ke is dam ko

rangeen zamaanaa thaa pahaloo me^ bahut un ke
ab kaun nikaalegaa in zulfo^ ke kham ko

kuchh bhee na karo parawaah is dil ke taDapane kee
ai kaatil barkh nazar purazor zaraa chamako

kyo^ DhoonDhate ho maazee me^ khoye hue manzar
kyo^ aur bhigote ho bheege hue mausam ko

ye pyaar ke aansoo^ hai^ tum in ko machalane do
mat paunchho khalish apane in deedaa-e-nam ko.

***********

M C Gupta ‘Khalish’
10 October 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44






२२०. Mat poochho kyo^ chup baithe ho

Mat poochho kyo^ chup baithe ho kyo^ sunanaa sunaanaa chhoD diyaa
Auro^ ko apanaa haal-e-dil ab ham ne bataanaa chhoD diyaa

Aisaa to nahee^ lab see kar ke duniyaa me^ basar ham karate hai^
Rahataa thaa kabhee hothon par jo ulafat ka taraanaa chhoD diyaa

Kyo^ pher liyaa duniyaa se meree na jaane tum ne rukh apanaa
Ham ne bhee tumhaaree duniyaa me^ ab aanaa jaanaa chhoD diyaa

Tum bhool gaye vaadaa apanaa kahate the sirf hamaare ho
Apane haq ka ehsaas tumhe^ ham ne bhee jataanaa chhoD diyaa

Taa-umr rahe^ge dil me^ wo lamahe jo sang guzaare the
Un lamaho^ kee yaado^ me^ Khalish ab ashq bahaanaa chhoD diyaa.

M C Gupta
6 Dec. 2004






२२१. mat poochho kyon bharamaaye hai^--sent to eb 23-12-04

mat poochho kyon bharamaaye hai^
kis ke is dil par saaye hai^

ek shokh nazar ke chashme se
chhup chhup kar jaam churaaye hai^

ilzaam unhe^ hamm kyo^kar de^
apanaa dil aap gawaaye hai^

ham jaan lutaate hai^ un par
naahaq jo ham se paraaye hai^

wo aaj mile hai^ khwaabo^ mai^
ham dekh unhe^ sharmaaye hai^

duniyaa se chhupaate hai^ lekin
dil me^ ham un ko biThaaye hai^

yoo^ to khwaabo^ me^ wo akasar
tashareef mere ghar laaye hai^.

lillah banee hai ab jaa^ pe
milane ko Khalish wo aaye hai^.

M C Gupta
19 December 2004









२२२. un ko ham apanaa kahate hai^

un ko ham apanaa kahate hai^
jo ham se paraaye rahate hai^

rakhate hai^ dil me^ gam laakho^
par sab se chhupaaye rahate hai^

din me^ musakaate hai^ lekin
raato^ me^ aa^soo bahate hai^

ham raaz bayaa^ kaise kar de^
taane duniyaa ke sahate hai^

khwaabo^ ke mahal dekhe jo khalish
dar pesh haqeekat Dhahate hai^


M C Gupta ‘khalish’
26 Dec. 2004








२२३. dil me^ wo mere samaaye hai^--sent to eb 30 Dec 04

dil me^ wo mere samaaye hai^
nazaro^ me^ jin kee paraaye hai^

iqaraar-e-mohabbat se jaane
kyo^ aaj talaq sharamaaye hai^

gam un kee mohabbat ke ham ne
is dil me^ laakh chhupaaye hai^

khwaabo^ ke jharokhe se aa^soo
raato^ me^ roz bahaaye hai^

ilazaam bhalaa kyo^ de^ un ko
dil se apane hee sataaye hai^

anzaam-e-mohabbat kyaa hogaa
ye soch Khalish bharamaaye hai^


M C Gupta ‘khalish’
26 Dec. 2004











२२४. na roko aa^suo^ ko aur khul ke in ko bahane do

na roko aa^suo^ ko aur khul ke in ko bahane do
chhupaaye dard jo dil me^ zubaa^ ko aaj kahane do

bhalaa har shaam laaye wasl kaa paigaam kyo^ aakhir
mohabbat karane waalo^ ko judaaee bhee to sahane do

na khaao aur kasame^ pyaar me^ kurabaan hone kee
tumhaare lab pe ye ja^chatee nahee^ shai is ko rahane do

zar-o-zevar kee kyaa darkaar jab allah miya^ ne khud
pinhaaye hai^nazaakat aur hayaa aurat ko gahane do

na jhuthalaa paaye^gee ghazale^ mohabbat kee budhaape ko
puraane ho chuke khandahar Khalish ab in ko dhahane do.

M C Gupta
28 Dec 2004








४--२२५. क्यों फूल रहे हो चोले पर —RAS--ईकविता, ५ मई, २००८


क्यों फूल रहे हो चोले पर
चोला ये होगा शोले पर

यम फांस गले में जब होगी
तो नहीं खुलेगी खोले पर

इक दिन उड़ जायेगा नादां
मृत्यु के उड़नखटोले पर

जीवन पल में घुल जायेगा
तू मत इतरा इस ओले पर

क्षणभंगुर है जीवन तेरा
तू बैठा आग के गोले पर

है नाम ख़ुदा का इक हीरा
क्यों रीझ रहा है कोयले पर

हरिनाम की मरहम को ग़ाफ़िल
तू मल ले पाप फफोले पर

इच्छा तज ख़लिश लगा मन को
तू केवल शंकर भोले पर.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१ जनवरी २००५

००००००००००००

From: "Prem Sahajwala" <pc_sahajwala2005@yahoo.com>
Date: Mon, 5 May 2008 09:46:53 -0700 (PDT)

khalish ji
u r superb.

इक दिन उड़ जायेगा नादां
मृत्यु के उड़नखटोले पर

excellent wording.

pcs
००००००००००००००००००


kyon phool rahe ho chole par

kyon phool rahe ho chole par
cholaa ye jalegaa shole par

yam phaans gale me^ jab hogee
hargiz na khulegee khole par

ek din uD jaayegaa naadaa^
too maut ke uDan khatole par

jeevan pal me^ ghul jaayegaa
mat itaraa too is ole oar

kyo^ bhoolaa jeevan khshan bhangur
baiThaa hai aag ke gole par

heeraa hai naam khudaa kaa too
kyon reejh rahaa hai koele par

gaafil harinaam kee maraham ko
mal paap se bhare phaphole par

icchhaa taj Khalish lagaa man ko
kewal too shankar bhole par.


M C Gupta
1 Jan 2005












२२६. shaam-o-sahar dhale

shaam-o-sahar dhale
raat do-pahar dhale

waqt kee raaho^ me^
saikado^ kahar dhale

jaam behosh hue
ban kar gahar dhale

sharabatee bol bahut
maafiq-e-zahar dhale

ashq aa^kho^ se meree
ban ke nahar dhale

aakhiree do aa^soo
ai Khalish thahar dhale.

M C Gupta
2 Jan 2005










***************

२२७. सुनसान रातें, तन्हाई का आलम, तुम्हारी मुझे आज याद आ रही है--RAS

सुनसान रातें, तन्हाई का आलम, तुम्हारी मुझे आज याद आ रही है
लगता है जैसे वादी की ठंडी हवाओं में रूह कोई मंडरा रही है

था वक्त कोई, हम तुम चले थे रख के कदम प्यार के रास्तों पर
वो रास्ते तो वहीं पर पड़े हैं, उनसे नज़र आज कतरा रही है

हुये हैं बहुत दिन, गये ज़िंदगी से, सदाएं तुम्हारी मग़र आ रहीं हैं
तुम हो हकीकत ऐसी जो हर दम नग़मा-ए-माज़ी दोहरा रही है

तुम तो नहीं हो मेरे पास लेकिन तुम्हारे तराने अभी भी जवां हैं
यादों का आलम न बिखरे कभी ये, ये सोच फ़ितरत घबरा रही है

जिस हाल में हो, जहां हो, रहो ख़ुश, अब न ख़लिश कोई आवाज़ देंगे
तुम दूर हमसे कभी भी नहीं हो, हर सांस अहसास करवा रही है.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
३ जनवरी २००५

इस नज़्म को अंग्रेज़ी रूपांतर सहित यहाँ देखें—
http://www.writing.com/main/view_item/item_id/1483520


YOUR THOUGHTS: bilingual poem—"YOUR THOUGHTS--bilingual poem , 11 October 2008
[Memories of the departed soul.]

Far from you in lonely night,
As my memories rally,
I feel as if a spirit
Pervades yet in this valley.

We had walked together once,
The paths of love, you and I.
Those paths lie there as such, yet,
Looking at them I feel shy.

It’s a long time that you left
But I can yet hear your call.
You exist for me as the
Song of the past I recall.

Though you are not by my side,
Your lyrics ring in my ear.
Your memories are my life.
Their loss is what I so fear.

May you rest in serene peace,
Wherever you may be now.
I won’t call or disturb you.
I feel you’re with me somehow.

* Written in abcb rhyme, 7-7-7-7 meter
* Written on 11 October 2008 as a translation from the Hindi ghazal given below, which was written on 3 January 2005.


M C Gupta
11 October 2008






















२२८. bhatakaa kiye saharaa mai^ manzil kee talaash mai^

bhatakaa kiye saharaa mai^ manzil kee talaash mai^
mauzood-e-dil ko aankh se paane kee aas mai^

nazaro^ mai^ sirf ek hai soorat basee huee
nikale hai naam ek hee har ek saans mai^

ek umr jab ganwaa chuke ehsaas tab huaa
jis ko sadaa DhoonDhaa kiye thaa mere paas mai^

ham kar chuke jin ke liye ye zindagee barbaad
aaye hai^ ham se milane wo rangee^ libaas mai^

jinako hamaaree simt dekhane se thaa gurez
sandal lagaa rahe hai^ Khalish meree laash mai^

M C Gupta
8 Feb 2005







२२९. sajatee Dolee bulaa rahee hai jaane ko

sajatee Dolee bulaa rahee hai jaane ko
shamaa khojatee hai apane paravaane ko

do pal kaa hai saath bachaa aur baate^ hai^
kitanee lambee tum ko abhee sunaane ko

ek baar to apanee jhalak dikhaa jaao
bas antim hichakee hai ab to aane ko

maanaa tum ko dil me^ ham se pyaar nahee^
jhooThe hee aa jaate hame^ manaane ko

paa jaayenge ab nijaat tere gam se
khalish aaj kahate hai^ vidaa zamaane ko

khalish
10 March 2005










२३०. tum ko badhaaee dost naye ghar kee aaj hai


tum ko badhaaee dost naye ghar kee aaj hai
tum ko hee nahee^ ham ko bhee is ghar pe naaz hai

yoo^ to hai^ bahut kaam grihastee main zarooree
ghar ka banaanaa un me^ sab se aham kaaj hai

apanaa na ho ghar kaun ye beewee na chaahegee
beewee kee khushee kaa hasee^ ghar hee to raaz hai

nagame me^ zindagee ke honee chaahiye miThaas
meethee jo taan detaa hai ghar aisaa saaj hai

jaaoge tum ghar me^ naye tum ko mubaarak ho
ham se Khalish bicchuDoge ye hee aitraaz hai.

M C Gupta ‘Khalish’
Created: 28 April 2005








२२८. शोले को भड़कने दो, १४ मई, २००५—ईकविता, ३ अगस्त २००८--BILINGUAL

शोले को भड़कने दो
इस दिल को तड़पने दो

सुनसान अंधेरों में
आतिश को चमकने दो

शिकवा न करो ऐ गुल
पंखुरी बिखरने दो

मत रोको कांटों को
कोई टीस निकलने दो

जाने दो बहारों को
गुलशन को उजड़ने दो

है वक्त जुदाई का
रोको न, बिछड़ने दो

हो कुछ तो ख़लिश दिल में
खन्जर को उतरने दो.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१४ मई २००५



228. shole ko bhaDakane do

shole ko bhaDakane do
is dil ko taDapane do

sunasaan andhero^ mein
aatish ko chamakane do

shikawaa na karo ai gul
pankhuree bikharne do

mat roko kaa^to^ ko
koee Tees nikalane do

jaatee ye bahaarei^ hai^
gulshan ko ujaDane do

hai waqt judaaee kaa
roko na bichhaDane do

ho kucch to ‘khalish’ dil mein
khanzar ko utarane do


M C Gupta
14 May 2005


* Translated as: 419729 LET THE CINDER BURN— 419729 in BILINGUAL POETRY 959857








229. mujhe zindagee se na kucch bhee milaa hai

mujhe zindagee se na kucch bhee milaa hai
kisee se na phir bhee mujhe kucch gilaa hai

faqat Thokarei^ hee milee^ is jahaa^ mei^
shaaistagee kaa yahaa^ kyaa silaa hai

fazool hai bahaanaa ashko^ ke dariyaa
fariyaad se kab sitamagar hilaa hai

kaTaar aur khanzar hue past saare
mehaboob kaa sang-e-dil wo kilaa hai

bhoole se bhee jo liyaa naan un kaa
dil kaa ka^wal dil hee dil mei^ khilaa hai

khalish mat lagaao zafaao^ ke nashtar
mohabbat mei^ pahale hee ye dil chhilaa hai.


M C Gupta
31 May 2005






230. na kisee kee aa^kh mai^ kho sakaa—posted to eb, published on 1 July 2005


na kisee kee aa^kh mai^ kho sakaa
na koee bhee meraa ho sakaa

mai^ hoo^ kaafiaa jo bikhar gayaa
na ghazal mai^ koee piro sakaa

mere ashq-e-gam to bahe magar
mai na dil kisee ka bhigo sakaa

koee aa^kh gaharee thee jheel see
na mai^ khud ko us me^ dubo sakaa

ab dil nahee^, hai ye sang-e-dil
koee gam na is ko chubho sakaa

jise baazuo^ pe naaz thaa
zulfo^ kaa bhaar na Dho sakaa

ashq-e-wafaao^ kaa kaafilaa
daag-e-zafaa ko na dho sakaa

nagamaa-e-ishq bahut likhe
koee beej-e-ishq na bo sakaa

huaa haal kucch aisaa khalish
na mai^ ha^s sakaa, na mai^ ro sakaa

M C Gupta
5 June 2005

*****************
From:
Priya Ranjan <pr_nsit@yahoo.co.in>

Subject: Re: [eBazm] na kisee kee aa^kh mai^ kho sakaa


Date: Sun, 03 Jul 2005 20:35:21 IST




Mahesh saheb

Bahut khoob likha hai aapne. Bahut bahut badhai.

- Priya Ranjan Gupta












231. teree mohabbat bulaa rahee hai

teree mohabbat bulaa rahee hai
koee nagamaa sunaa rahee hai

teree khush-boo mere badan se
na jaane kyo^kar aaj aa rahee hai

na tujh ko cHooaa, na tujh ko dekhaa,
asar ye kaisaa dikhaa rahee hai

teree dhadakan koee wajah hai
mere dil me^ samaa rahee hai

door rah ke bhee ho paas mere
ehsaas mujh ko karaa rahee hai

baaho^ me^ ek din to aaoge tum
meree aas mujh ko bataa rahee hai

Khalish door kab tak rahoge ham se
pyaas baDhatee hee jaa rahee hai

M C Gupta ‘Khalish’
Created: 20 June 2005
















232. Mazaboor bachapan—sent to eb, published on 8 July 05


kaliaa^ kisee baagh me^ pal rahee^ hai^
kahee^ kopale^ aag me^ jal rahee hai^

kisee ke hai sar me^ kitaabo^ ka masalaa
sar pe kisee ke roDee ka tasalaa

kisee ka na dil lazzato^ se bahalataa
koee bhaaee bahano^ ka hai pet bharataa

kisee pe hai maa^ ke aanchal ka saayaa
kisee pe sitam us ke maalik ne Dhaayaa

jo mazadoor ban kar rahate hai^ bachhe
un se to sahib ke kutte hee acche

koee din kabhee aayegaa is jahaa^ me^
hamaare watan me^ hindostaa^ me^

mazaboor bachapan zulam na sahegaa
mazadoor ban ke Khalish na rahegaa.


M C Gupta ‘khalish’
Created: 24 June 2005

***********************

From:
Mudabbir Yahya Rizvi <mudabbir_rizvi@yahoo.com>


To: ebazm@yahoogroups.com, mcgupta44@rediffmail.com


Subject: Re: [eBazm] RE: Ghazal On Child Labor ! ! !


Date: Sat, 09 Jul 2005 00:44:30 IST


Hi Mahesh,

How are you ? I am very very thankful for your very nice poetry. Its
really very nice. I need your permission to do little bit changes in
your poetry. Can I ?????

Please reply me as soon as poosible. Without your permission I never
edit or change any thing.

Please reply me.

Thanks & Take care
Mudabbir.
+92300 - 2379006

*******************


From:
"SP.Jamal" <espy786@hotmail.com>
To: mcgupta44@rediffmail.com


Subject: aap ki


Date: Fri, 08 Jul 2005 20:51:25 IST



Dear Doctor Sahib,

Bahut behtareen ghazal thee aur is ko pad ne ke baad Raj Kapoor ka woh
zabarjast film "BOOT POLISH"
yaad ayaa. Aap ki kalam tho ab bhi talwar hai, my Allah say yeh mangoo ke
aap ki Talwar our tez banaye
jamal

********************




233. ham ne to un kee mahafil me^ ab aanaa jaanaa chhoD diyaa


ham ne to un kee mahafil me^ ab aanaa jaanaa chhoD diyaa
ehsaas hai wo na aaye^ge ab un ko bulaanaa chhoD diyaa

paigaam hamaaraa paate hee jo aate the dauDe dauDe
naasaaz tabeeyat hai un se karanaa ye bahaanaa chhoD diyaa

ham ne to asoolo^ kee maafik ulfat kee rasm nibaahee thee
apane waade wo bhool gaye aur pyaar nibaahnaa chhoD diyaa

sau kasm wafaa kee khaate the jo ham ko manaane kee khaatir
wo khud hai^ gair ke pahaloo me^ ilzaam lagaanaa chhoD diyaa

karane se shikaayat kyaa haasil wo dil ko lagaa ke bhool gaye
un kee khaatir ham ne ai khalish bedard zamaanaa chhoD diyaa.


M C Gupta ‘khalish’

Created: 25 June 2005










234. kahataa hoo^ sach ki jhoot kee aadat nahee^ mujhe

kahataa hoo^ sach ki jhoot kee aadat nahee^ mujhe
par raas aatee sach kee ibaadat naheen mujhe

masalaa-e-sach-o- jhoot me^ ulajhaa gayaa hoo^ me^
kyaa sach hai jaanoo^ is kee ab chaahat nahee^ mujhe

deewaanagee-e-ishq kaa aisaa hai kucch asar
hai ilm kisee aur kee baabat nahee^ mujhe

mil jaaye wo maashook bas hai ek tamannaa
bin us ke zindagee me^ hai raahat nahee^ mujhe

badale me^ kyaa doo^ bhai^t us parawar-digaar ko
manzoor bandagee me^ tizaarat nahee^ mujhe

mai^ chal padaa hoo^ manzil-e-khudaa ko ab Khalish
hai raah-e-maulaa me^ thakaawat nahee^ mujhe.

M C Gupta Khalish
June 30, 2005










235. meree zindagee kyaa cheez hai

meree zindagee kyaa cheez hai
gam-e-zindagee kee mareez hai

mujhe baksh de ai zindagee
meree maut mujh ko azeez hai

haaree hai jis se zindagee
ek shai wo maut kaneez hai

parawaane se poochhe koee
use maut kitanee lazeez hai

hai jo apanee maut ka muntazir
wo Khalish bhee kitanaa khabees hai


M C Gupta Khalish
1 July 2005













236. meraa gam hai meraa ham safar kyo^ gam se mujh ko nizaat ho

[POSTED TO EB ON 7-8-05. Published on eb on 26 Aug. 2005]



meraa gam hai meraa ham safar kyo^ gam se mujh ko nizaat ho
jab dostee mujhe gam se hai to khushee se kyo^ mulaakaat ho

maine jo bhee chaahaa na mil sakaa mujhe is kaa kucch na malaal hai
mere dil me^ jab hasarat nahee^ kyo^ khwaahisho^ kee baat ho

koee reshamee aanchal mile na likhaa thaa mere naseeb me^
meraa ishq hee naakaam thaa gam kee na kyo^ barasaat ho

mujhe zindagee se gilaa nahee^ jo likhaa thaa mujh ko wo milaa
mujhe haal apanaa kabool hai chaahe zindagee siyah raat ho

hai isee me^ ishq kee aabaroo ke mitaa de apane wazood ko
wo rahe^ salaamat go Khalish gam-e-ishq me^ barabaad ho.


M C Gupta Khalish
7 August 2005



From:
"SP.Jamal" <espy786@hotmail.com> | Add to Address Book | This is spam

To: mcgupta44@rediffmail.com

Subject: aap ki ghazal

Date: Fri, 26 Aug 2005 21:24:42 IST


Doctor Sahib

WAH WAH WAH BAHUT KHOOB ABHI IS GHAZAL KO gULAM aLI YAH tALAT aZEEZ GAA KAR
SUNA DE TO JEENA KA AUR BHI MAZAA AAJATA HAI

TABIYAT KA DHYAN RAKHO AUR GHAR MAY SUB KO HAMARA SALAAM DENA

jAMAL

*********************





237. anajaan jo baiThe hai^ palako^ pe biThaate the

anajaan jo baiThe hai^ palako^ pe biThaate the
pahachaan jo bhoole hai^ wo naaz uThaate the

aalam thaa kabhee aisaa shiddat-e-mohabbat kaa
bal khaa ke hame^ apane seene se lagaate the

gar gair ko bhoole bhee is dil me^ basaayaa to
ham jaan gawaa^ de^ge ye kah ke daraate the

ham se na bayaa^ hogaa kissaa-e-zafaa un kaa
kasame^ jo wafaao^ kee ro ro ke khilaate the

ab poochhate hai^ gunche kyaa huee^ hasee^ zulfe^
jin me^ ai Khalish ham ko hasarat se sajaate the.


M C Gupta Khalish
7 August 2005











238. mere paas aa mere dilarubaa mujhe door rah ke sazaa na de

mere paas aa mere dilarubaa mujhe door rah ke sazaa na de
bhalaa pyaar bhee koee zurm hai binaa zurm ke to kazaa na de

maanaa intezaar me^ hai mazaa jo ke wasl-e-yaar se kam nahee^
mere haal pe kar too karam mujhe aisee shai ka mazaa na de

mere deedaa-e-tar bin tere deedaar ke khaamosh hai^
aa meree nazar me^ ra^g bhar mere pyaar ko yoo^ lajaa na de

mat do dilo^ me^ fark kar na dilo^ kaa rishtaa tarq kar
mujhe Dar hai saaz pe pyaar ke koee raag-e-tarq bajaa na de

too jawaan bhee hai haseen bhee tujhe aashiko^ kee kamee nahee^
kahee^ dil me^ apane ai sanam kisee aur ko too basaa na de

is be-murauwat jahaan me^ bas ek too hai meraa khalish
jo payaam aaye gair kaa too dil kee apane razaa na de.


M C Gupta Khalish
7 August 2005











239. mere chaaragar too dawaa na de [to be translated]


mere chaaragar too dawaa na de
meree zindagee kee duaa na de

mujhe sirf maut azeez hai
too bujhatee lau ko hawaa na de

mere dil me^ ab na wo taab hai
mujhe apane dil me^ jagaah na de

jise dosto^ ne mitaa diyaa
use dostee kee salaah na de

jo rahe talaashatee pyaar ko
mujhe wo bhatakatee nigaah na de

mujhe raat din ye khayaal hai
kahee^ wo nazar se giraa na de

bhalaa keejiye kyaa jab khalish
koee pyaar kaa bhee silaa na de.


M C Gupta Khalish
8 August 2005














240. bhalaa ishq me^ mujhe kyaa milaa

bhalaa ishq me^ mujhe kyaa milaa
jise chaahaa maine wo naa milaa

mulaakaat to huee barahaa
jab bhee milaa wo khafaa milaa

meraa sar jhukaanaa ghazab huaa
wo ban ke mujh se khudaa milaa

dil me^ biThaayaa thaa jise
wo gair dar pe khaDaa milaa

baradaasht karataa me^ kab talaq
gam roz mujh ko nayaa milaa

meraa raazadaar palaT gayaa
mere dushmano^ se jaa milaa

gam-e-ishq me^ ab to Khalish
rusawaaee kaa gam aa milaa.


M C Gupta ‘Khalish’

Created: 14 August 2005















241. chandanee ko milaa chaand kyaa baat hai

chandanee ko milaa chaand kyaa baat hai
hasee^ waqt-e-shaam-e-mulaakaat hai

chalee chhoD nukkaD-o- galiyaa^ wo ab
aa^kho^ me^ rangeen jazbaat hai

hue khwaab poore sunahare sabhee
khudaa kee ye samajho karaamaat hai

rahanaa magar chaand se hoshiyaar
bahut bewafaa mard kee jaat hai

hame^ bhool jaanaa na jaate ho door
sadaa-e-khalish tum ko saugaat hai.


M C Gupta ‘Khalish’

Created: 14 August 2005













242. roshanee chaand se hotee hai sitaaro^ se nahee^

roshanee chaand se hotee hai sitaaro^ se nahee^
mohabbat ek se hotee hai hazaaro^ se nahee^

kaagazee phool me^ khushaboo na kabhee aa paaee
jeet hotee hai manzil se nazaaro^ se nahee^

dil ko pareshaa^ na karo yaado^ se
sakoo^ rooh se milataa hai mazaaro^ se nahee^

gam-e-ishq kee shiddat ko baDhaanaa hogaa
faulaad aag se Dhalataa hai sharaaro^ se nahee^

ashq palate hai^ Khalish gam se bharee aankho^ me^
mauz uThatee hai samandar se kinaaro^ se nahee^.


M C Gupta ‘Khalish’

14 August 2005













243. abhee is taraf na nigaah kar –posted to eb on 14 Aug 05

Thahar is taraf na nigaah kar
jaraa ponchh loo^ mai^ chashm-e-tar

ye hai sirf ibtidaa abhee
lambaa bahut hai ye safar

maanaa ke paao^ hai^ thake
rukanaa nahee^ mumakin magar

ye likhaa hai mere naseeb mai^
phirataa rahoo^ mai^ dar-ba-dar

jahaa^ ho^ sabhee bahare wahaa^
fariyaad kaa ho kyaa asar

jhooThee ummeed na kar yahaa^
ye to zaalimo^ kaa hai shahar

jab be-asar ho sab dawaa
to duaa pe too aitabaar kar

tere bhaag chamake^ge khalish
us kee paDegee jab nazar


M C Gupta ‘Khalish’
14 August 2005













244. shaayar hoo^ mai^ sab mujh ko adab yaad rahate hai^

shaayar hoo^ mai^ sab mujh ko adab yaad rahate hai^
jo sunate hain wo mujh ko laa-jawaab kahate hain

kis ne zamaane main sunee parawaanon kee aawaaz
jalate hain wo chupchaap phir bhee dard sahate hain

samajho na in ko faqt tum paanee kee do boonden
jab dil taDapataa hai tabhee ye ashq bahate hain

acchaa kiyaa jo pher lee tum ne nazar apanee
jhooThe the sapanon ke mahal jo aaj Dhahate hain.

M C Gupta ‘Khalish’
14 August 2005


एद
मैं ज़िन्दगी में बहुत रो रहा था
बोझा गुनाहों का मैं ढो रहा था

दुनिया के मालिक को भूल गया था
पाप की दुनिया में मैं खो रहा था

खुद को ही समझा कि मैं कर रहा हूं
अहसास रब का न दिल को रहा था

बन्दगी में दिल को लगाया नहीं था
बेख़ौफ़ चैन से मैं सो रहा था

है मेहरबानी, मिले मेरे मौला
जीवन तुम्हारे बिना खो रहा था

हाथ को पकड़ा, मुझको बचाया
वक्ते-विदाई पल दो रहा था

भूल गया था तुमको दिल से
ध्यान मेरा पर तुमको रहा था

शुक्रिया ख़लिश प्रभु तुम ने उबारा
बीज बहुत पाप के बो रहा था.

०००००००







२४५. मैं ज़िन्दगी में बहुत रो रहा था —RAS--ईकविता, ६ मई, २००८

मैं ज़िन्दगी में बहुत रो रहा था
बोझा गुनाहों का मैं ढो रहा था

दुनिया के मालिक को भूल गया था
पाप की दुनिया में मैं खो रहा था

खुद को ही समझा कि मैं कर रहा हूं
अहसास रब का न दिल को रहा था

दिल को लगाया नहीं बन्दगी में
बेख़ौफ़ चैन से मैं सो रहा था

है मेहरबानी, मिले मेरे मौला
जीवन तुम्हारे बिना खो रहा था

भूल गया था तुमको दिल से
ध्यान मेरा पर तुमको रहा था

हाथ को पकड़ा, मुझको बचाया
वक्ते-विदाई पल दो रहा था

धन्य ख़लिश प्रभु तुम ने उबारा
बीज बहुत पाप के बो रहा था.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१६ अगस्त २००५

०००००००००००००००

Tuesday, 6 May, 2008 1:23 AM
From: "Prem Sahajwala" pc_sahajwala2005@yahoo.com

खलिश जी,
आपकी भक्ति भावना से अभिभूत हूँ. काश मैं भी इस कदर आस्तिक हो पाता. साई बाबा के नकली चमत्कार टीवी पर देखता हूँ. मैं सोचता हूँ की संत महात्मा आध्यात्मिक शान्ति के लिए अच्छे हैं पर जब उनको अविश्वसनीय व कृत्रिम से जादूनुमा कारनामों में दिखाया जाता है तब वे अंध विश्वास को ही बढावा देते हैं. आप की ग़ज़ल में आध्यात्म है इस लिए अच्छी लगी. धन्यवाद.
प्रेम सहजवाला

०००००००००००००००






245. gam-e-zindagee par bahut ro rahaa thaa

gam-e-zindagee par bahut ro rahaa thaa
pareshaan duniyaa se mai^ ho rahaa thaa

bhoolaa thaa kis ne jahaa^ hai banaayaa
duniyaa kee gafalat me^ mai^ so rahaa thaa

khud ko samajhataa thaa mai^ kar rahaa hoo^
ehsaas us kaa na dil ko rahaa thaa

kabhee bandagee me^ na dil ko lagaayaa
gunaaho^ kaa bojhaa mai^ Dho rahaa thaa

bahut meharabaanee hai ai saaee baabaa
mai^ jeevan tumhaare binaa kho rahaa thaa

pakaD kar meraa haath tum ne bachaayaa
waqat kooch kaa bas ghaDee do rahaa thaa

kabhee dhyaan maine kiyaa naa tumhaaraa
meraa dhyaan lekin tumhe^ to rahaa thaa

khalish shukriyaa saaee tum ne ubaaraa
paapo^ ke beej ab talaq bo rahaa thaa.


mahesh chandra guptaa khalish

16 agast 2005

२४६. मैं ढूंढा उस को किया बहुत जो बसा हुआ है कण कण में —ईकविता, ७ मई, २००८


मैं ढूंढा उस को किया बहुत जो बसा हुआ है कण कण में
खोजा बन पर्बत में उस को जो था मेरे ही आंगन में

माशूक और आशिक के दरम्यां है फ़र्क सिरफ़ इक पर्दे का
लाज़िम है कि परदा उलटे ये शिद्दत हो आशिक मन में

एक बार जो पर्दा हट जाये तो राज़ सभी खुल जाते हैं
न बुझने वाली आग रवां सी हो जाती है इक तन में

ऐसे आलम में मिट जाये जब फ़र्क पराये अपने का
रूहानी दुनिया में आशिक पाये है ख़ुद को एक क्षण में

जाने जो भेद फ़कीरी ये वो ख़लिश तरे भवसागर से
फिर भेद नहीं दिखता उस को कुछ भी मिट्टी, कांचन-धन में.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१५ सितम्बर २००५






246. DhoonDhaa mai^ kiyaa us ko har soo jo basaa huaa hai kan kan me^


DhoonDhaa mai^ kiyaa us ko har soo jo basaa huaa hai kan kan me^
khojaa ban parbat me^ us ko jo thaa khud mere aangan me^

ek parade kaa hai sirf faraq maashook aur aashiq ke darmyaa^
parade ko haTataane kee shiddat laazim hai aashiq ke man me^

paradaa jo haTe ek baar to saare ho jaate hai^ raaz nihaa^
jo bujh na sake lag jaatee hai ek aag wo aashiq ke tan me^

aise aalam me^ miT jaaye jab farq paraaye apane kaa
roohaanee duniyaa me^ aashiq paataa hai khud ko ek chhan me^

jaane jo bhed fakeeree ye duniyaa se khalish wo tar jaaye
phir farq nahee^ rahataa us ko miTTee me^ aur kanchan Dhan me^


mahesh chandr gupta khalish

15 sitambar 2005





२४७. न तो जाम-ओ-मय की तलाश है —RAS--ईकविता, ७ मई, २००८

न तो जाम-ओ-मय की तलाश है न तो लाल-ओ-ज़र की तलाश है
जो मिटा दे तारीकियां सभी इक उसी सहर की तलाश है

एक शौक है बाकी ख़ुदा का अब और सवाल उस की रज़ा का है
जो ख़ुदा के घर का निशान दे एक उसी डगर की तलाश है

ये जीवन मैंने गंवा दिया, और अपने रब को भुला दिया
जो पयाम मेरा ख़ुदा को दे इक नामावर की तलाश है

ता-उम्र अग़रचे चला किया, पर मंज़िल मुझसे दूर रही
जो मुझे दिखा दे उस का दर उसी राहगुज़र की तलाश है

लो कट गयी सारी उम्र मेरी, बस बचा है बाकी एक सफ़र
मैं राह में खो न जाऊं कहीं, साथी-ए-सफ़र की तलाश है

आया है समंदर में तूफ़ां और कश्ती डगमग डोले है
ले जाये मुझे जो साहिल तक, बस एक लहर की तलाश है

उसका हो करम कब मुझपे ख़लिश, जाने वो ही अपना है मरम
सदके मैं अपने मौला के, उस की ही महर की तलाश है.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१६ अक्तूबर २००५

०००

from Prem Sahajwala <pc_sahajwala2005@yahoo.com>

date May 7, 2008 4:06 PM

Mahesh ji

जो ख़ुदा के घर तक ले चले मुझे उस डगर की तलाश है

beauutiiifulll ! ! !

००००००००००००००००००




247. na to ishq-o-mai kee talaash hai………..

na to ishq-o-mai kee talaash hai, na to laal-o-zar kee talaash hai
jo miTaa de mere shauk sab mujhe us zahar kee talaash hai

ek shauk bas ab khudaa kaa hai, aur sawaal us kee razaa kaa hai
jo khudaa ke ghar se jaa mile mujhe us Dagar kee talaash hai

maine zindagee ko gawaa diyaa, maine naam saaee kaa na liyaa
jo payaam pahu^chaa de meraa, usee naamaavar kee talaash hai

mai^ chalaa kiyaa taa-umr par ma^zil na apanee paa sakaa
jo dikhaa de mujh ko us kaa dar usee rahaguzar kee talaash hai

yoo^ hee kaT gaee meree umar, hai aakhiree bas ye safar
mai^ bhaTak na jaaoo^ raah me^ kisee hamasafar kee talaash hai

kashtee samandar me^ uThe toofaa^ me^ Dag-mag Dolatee
le jaaye jo saahil talaq mujhe us lahar kee talaash hai

kab ho khalish us kaa karam, jaane wo hee apanaa maram
sadake mai^ apane saaee ke us ke mahar kee talaash hai.


mahesh chandr gupt khalish
16 aktoobar, 2005








248. bhulaa do, mere dost, mujh ko bhulaa do

bhulaa do, mere dost, mujh ko bhulaa do
maazee kee parato^ me^ mujh ko sulaa do

bahut jee liyaa me^ tumhaare karam par
chalataa hoo^ ab to na mujh ko gilaa do

maanaa ki tum ko na maine diyaa kucch
meree mufalisee kaa na yoo^ to silaa do

murjhaa gayaa hoo^ mai^ maayoosiyo^ se
apanee nazar se meraa dil khilaa do

ravaanee kee mujh se na ummeed rakho
gir hee na jaaoo^ kadam jo chalaa do

Khalish mai^ chalaa lo samhaalo ye duniyaa
mujhe to mere rab se bas ab milaa do.


mahesh chandr gupt khalish
8 navambar, 2005















249. kis liye jioo^ ke zindagee ne kucch diyaa nahee^


kis liye jioo^ ke zindagee ne kucch diyaa nahee^
jahaa^ me^ aisaa kaun hai ke jis ne gam diyaa nahee^

mai^ pyaar Dhoo^Dhataa rahaa
dilo^ ko poojataa rahaa
unho^ ne par wafaao^ kaa
zafaao^ se silaa diyaa
hai zindagee kee shaam ab
huaa hai din tamaam ab
mai^ aur jee ke kyaa karoo^
mai^ maut se bhee kyaa Daroo^

luTaayaa ham ne dil asar sanam pe kucch huaa nahee^
jahaa^ me^ aisaa kaun hai ke jis ne gam diyaa nahee^

mohabbato^ ke raaste
bane hai^ sab ke waaste
magar hai^ chand log hee
khushee jinhe^ yahaa^ milee
gam yahaa^ hazaar hai^
taraane naagawaar hai^
dil yahaa^ luTaa kiye
ashq yaa^ bahaa kiye

kis ne ham se pyaar me^ Khalish dagaa kiyaa nahee^
jahaa^ me^ aisaa kaun hai ke jis ne gam diyaa nahee^


mahesh chandr gupt khalish
10 navambar, 2005













250. tumhaaree yaad


na jaane kab talak mujh ko tumhaaree yaad aayegee
mere jeevan kee antim saa^s tak mujh ko sataayegee


agar mere kadam bahake^ge, apanee raah badaloo^gaa
tumhaaree yaad haule se mujhe waapas bulaayegee


kabhee tanhaayion^ me^ jab pareshaa^ dil meraa hogaa
tumhaaree yaad hee aakhir sakoo^ dil ko dilaayegee


is saudaaee ko jab naa koee dil se lagaayegaa
tumhaaree yaad nagame pyaar ke mujh ko sunaayegee


ye raahe^ zindagee kee jab andhere se bharee ho^gee
tumhaaree yaad mujh ko ek nayaa rastaa dikhaayegee
.

magar kaise Khalish bahlegaa dil sunasaan raato^ me^
tumhaaree yaad mujh ko jab bahut aa kar rulaayegee?


mahesh chandr gupt khalish
15 janavaree, 2005

© Copyright 2008 Dr M C Gupta (UN: mcgupta44 at Writing.Com). All rights reserved.
Dr M C Gupta has granted Writing.Com, its affiliates and its syndicates non-exclusive rights to display this work.
Log in to Leave Feedback
Username:
Password: <Show>
Not a Member?
Signup right now, for free!
All accounts include:
*Bullet* FREE Email @Writing.Com!
*Bullet* FREE Portfolio Services!
Printed from https://www.writing.com/main/books/entry_id/626793