*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/books.php/entry_id/626791
Rated: E · Book · Cultural · #1510158
Hindi poems in Hindi script, mainly ghazals, Serial no. 1-700
#626791 added December 30, 2008 at 3:29pm
Restrictions: None
Hindi poms / ghazals in Hindi script, no. 101-150
१०१. APNE SE LAGTE HO, 15 March 2004


Hue tum gair ke phir bhi mere apne se lagte ho
Kisii pyaare hasiin tuute hue sapne se lagte ho

kabhii tanhaaii mein yadon ka ek hazuum aataa hai
mere khyaalon ki baahon mein mujhe kasne se lagte ho

Kabhii raaton ko jab aankhon se merii ashq bahte hain
Merii haalat pe tum shaayad kahiin hansne se lagte ho

arsaa ho gayaa ujde hue wo pyaar kii duniyaa
magar phir bhi tasavvur mein mere basne se lagte ho

bahut koshish bhulaane kii tumhein kii hai Khalish lekin
kisii kone mein dil ke phir kahiin sajne se lagte ho.

MC Gupta
15 March 2004












१०२. HAR WAQT MERE DIL MEIN TUM AISE SAMAAYE HO, 15 March 2004



Har waqt mere dil mein tum aise samaaye ho
Har raat ko chupke se mere khwaab mein aaye ho

Tum paas nahiin mere phir bhi yuun lagtaa hai
Duniyaa pe mere dil kii tum hii tum chhaaye ho

Goyaa ki huii muddat tum ko munh mode hue
Kaise kah duun tum ab is dil se paraaye ho

Jab jab mujh ko aa kar tanhaaii ne gheraa hai
Yaadon ke jharokhe mein aa kar muskaaye ho

Aa jaao Khalish pal bhar suurat to dikhaa jaao
Mushkil hai yakiin karnaa faqt ab ek saaye ho.

MC Gupta
15 March 2004
















१०३. AAYEINGE WO KHUD KO SAMJHAATAA RAHAA, 17March 2004




Aayeinge wo khud ko samjhaataa rahaa
Dil ko main jhuuth hii bahlaataa rahaa

Jaane waale phir nahiin aate kabhii
Is hakiikat se main katraataa rahaa

Asliyat se munh chhupaane ke liye
Main tasavvur mein unhein laata rahaa

Un kii suurat dekh kar un ke diye
Zakhm tanhaaii mein sahlaataa rahaa

Kyon mile mujh se agar jaanaa hii thaa
Baarhaa dil mein sawaal aataa rahaa

Ab to khwaabon mein bhi kam aate hain wo
Ye sahaaraa bhi Khalish jaata rahaa.

MC Gupta
17 March 2004











१०४. CHAAH NAHIIN HAI, 17 March 2004


Jiitaa huun jiine kii mujhe ab chaah nahiin hai
Jiine ke siwaa aur mujhe raah nahiin hai

Hain zindgii mein gam magar ham fikr kyon karein
Gam ko uthaane ke siwaa nibaah nahiin hai

Haasil gawaane se bhalaa kyaa jaan ko hogaa
Duniyaa ko merii jaan kii parwaah nahiin hai

Ham katl ho ke bhi bane un ke kasuurwaar
Koii hamaaraa shahar mein gawaah nahiin hai

Kyaa kiije doston ka Khalish aaj aitbaar
Gardish mein un kii nek ab salaah nahiin hai.

MC Gupta
17 March 2004










१०५. MERE GUNAAH KII TUMHEIN KYONKAR SAZAA MILE, 17 March 2004


Mere gunaah kii tumhein kyonkar sazaa mile
Kyon aisaa ho insaaf kyon aisii kazaa mile

Naahaq hii bekasuur ki ek jaan chalii jaaye
Kyonkar ke aisii shai ko maalik kii razaa mile

Un ke sataane se bahut ham royein zaar zaar
Fitrat ko un kii kisliye is mein mazaa mile

Wo luut kar ham ko rahein sukh chain se abaad
Kyaa thaa kasuur meraa ki mujh ko khizaa mile

Sahraa se laut aaiyein ham waadii-e-chaman mein
Merii bhi ziist ko Khalish aisii fizaa mile.

MC Gupta
17 march 2004









१०६. KABHII DUUR HO PAAS AATE KABHII HO, 18 March 2004


Kabhii duur ho paas aate kabhii ho
Rulaate kabhii aur hansaate kabhii ho

Tum hii ho mere dil kii duniyaa ke maalik
Kabhii yaad aate, bhulaate kabhii ho

Jahaan ham kabhii saath donon chale the
Laate kabhii aur bulaate kabhii ho

Wafaaon ki raahon pe jo raag gaaye
Sunate kabhii aur sunaate kabhii ho

Tanhhaiyon mein khwaabon mein mere
Chhupate kabhii muskuraate kabhii ho

Khalish ho nahiin paas lagtaa hai phir bhii
aagosh mein jyon lajaate kabhii ho.

MC Gupta
18 March 2004













१०७. AANSUU, 19 March 2004


Aankhon mein jab bhi aate hain aansuu
Naii dastaan gungunaate hain aansuu

Hadd se agar dard baDhtaa hai dil mein
Sukuun mere dil mein laate hain aansuu

Hotaa hai ehsaas jab galtiyon kaa
Afsos un kaa jataate hain aansuu

Bichhude piyaa se milan kii tamannaa
Ke ifraat se ladkhadaate hain aansuu

Kismat bahut jab meharbaan bane tab
Khushii ka pataa de ke jaate hain aansuu

Na hansnaa Khalish tum mere aansuon par
Sadaa mere dil kii sunaate hain aansuu.

MC Gupta
19 march 2004






















१०८. MOHABBAT MEIN MERII IBAADAT CHHIPII HAI, 23 March 2004


Mohabbat mein merii ibaadat chhipii hai
Mere dard mein muskaraahat chhipii hai

Chaahat ko merii thukraa na denaa
Nahiin is mein koii milaawat chhipii hai

Khayaalon mein mere jhaanko to jaano
Gamon kii mere dil mein aahat chhipii hai

Zubaan aashikon kii kyaa samjhegaa koii
Hansii mein bhi rone ki aadat chhipii hai

Unhon ne bulaawaa to bhejaa hai lekin
Bulaawe mein kitnii rukaawat chhipii hai

Na inkaar hii hai, na iqraar hi hai
Ishaare mein kaisii sharaarat chhipii hai

The naadaan ham ishq mein sochate the
Gam-e-duniyaa se ek raahat chhipii hai

Khalish puuchhe koii mere chaak dil se
Mohabbat mein ek kaduwaahat chhippi hai.

MC Gupta
23 march 2004





१०९ . भेजा उन्हें सलाम बुरा मान गये, २३ मार्च २००४--BILINGUAL


भेजा उन्हें सलाम बुरा मान गये
सुन के मेरा कलाम बुरा मान गये

तारीफ़ कर बैठे जो उनके हुस्न की
पाया है ये ईनाम बुरा मान गये

उनके इशारे आ रहे थे बारहा
भेजा जो इक पयाम बुरा मान गये

रुख से न उनके हम नज़र लौटा सके
ये ही बना इलज़ाम बुरा मान गये

मौका मनाने का तो ख़लिश पा लिया
अहसान आपका कि बुरा मान गये.

२३ मार्च २००४





LOVELY OFFENCE-- 23 March, 2004


Why my bow so offends you?
Why you dislike my ode, too?

I but admired beauty your,
Why these looks of anger pure?

Gestures you made a thousand;
Why should my gesture offend?

On your face my eyes got stuck,
That only is my bad luck.

If you’re not irritated,
Whom shall I have placated?

• Written in aa, 7-7 format
• Initially written as item no. 834250, which was later deleted. Present static item posted on 15 March 2008.



११०. ख़ुदा के आंसू—RAS--ईकविता, ४ मई २००८-- हिन्दी –चेतना में प्रकाशित [सं—सुधा धींगड़ा]

तुम्हें इंसान का चोला दिया, हैवान बन बैठे
दिया तुम को ख़ुदाई नूर, तुम शैतान बन बैठे

रहो पाकीज़गी से इसलिये भेजा जहां में था
मग़र मज़हब का ले कर नाम बेईमान बन बैठे

दिये तोहफ़े हज़ारों किस्म के मैंने तुम्हें लेकिन
तुम्हारे वास्ते लड़ने का वो सामान बन बैठे

यही ख़्वाहिश थी मेरी कि रहो तुम भाई-चारे से
सितम-ओ-ज़ुल्म का सब के लिये फ़रमान बन बैठे

बहुत मायूस हूं मैं देख कर ये हश्र शैतानी
बहाता हूं ख़लिश आंसू कि क्या इंसान बन बैठे.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
२४ मार्च २००३
00000000

Sunday, 4 May, 2008 8:39 PM
From: "parmod moudgil" p2ptto@yahoo.com
प्रिय गुप्ता जी आपकी दोनो रचनायं खूब्सूरत है
प्रभु ने मानव को अन्य जीवों के मुकाब्ले ज्यादा बुद्धी दी,मगर उसने तो बुद्धि के साथ विवेक ,भला बुरा जानने की ्शक्ति भी दी थी बस उसको खोकर ही हम दुखी हैं.
श्याम्सखा श्याम
००००००००००००


Sunday, 4 May, 2008 9:45 PM
From: "bhupal sood" ayan_bhupal@yahoo.co.in
Aadarniya gupta jiaapki rachna ne bahut prabahvit kiya. dhanyavadbhupal

०००००००००००००००००००
Date: Mon, 5 May 2008 07:35:29 -0700 (PDT)
From: "Om Dhingra" <ceddlt@yahoo.com>
महेश जी,
आप की रचना ''खुदा के आंसू'' हिन्दी -चेतना के लिए
लेना चाहती हूँ. कृपा उसे मेरी इ-मेल पर पोस्ट कर दें.
आप का चित्र भी चाहिए. असुविधा न हो तो अपना
फ़ोन नम्बर देने की कृपा भी करें. कभी- कभी कुछ पूछना
हो तो सुविधा रहती है. धन्यवाद!

सादर स्नेह,
सुधा
Monday, 5 May, 2008 7:14 AM
From: "mouli pershad" cmpershad@yahoo.com
रहो पाकीज़गी से इसलिये भेजा था दुनिया में
मग़र तुम नाम पर मज़हब के बेईमान बन बैठे

काश! कि मज़हब के ठेकेदार यह बात सुन पाते।
बहुत खूब गुप्ता जी।
०००००००००००००००


. KHUDAA KE AANSUU, 24 March 2003


Tumhein insaan kaa cholaa diyaa haivaan ban baithe
Diyaa tum ko khudaaii nuur tum shaitaan ban baithe

Bitaane zindgii ek paak is duniyaa mein bhejaa thaa
Mazhab ke naam par hii tum be-iimaan ban baithe

Diye tohfe hazaaron kism ke maine tumhein lekin
Ladne aur marne kaa wohii saamaan ban baithe

Yahii khwaahish thii merii tum raho sab bhaaii chaare se
Badaa afsos hai tum gairdil insaan ban baithe

Bahut mayuus huun mein dekh kar, ye hashr shaitaani;
Bahaata huun Khalish aansuu ki kyaa insaan ban baithe.


MC Gupta
24 march 2003













१११. MANAATE NA, MANAANE KA BAHAANAA TO JARAA KARTE, 25 March 2004


Manaate na, manaane ka bahaanaa to jaraa karte
Kabhii tum pyaar mein ham ko diwaanaa to jaraa karte

Chalaate tiir na khanjar khud hii ham to mar jaate
Mere dil kii taraf apnaa nishaanaa to jaraa karte

Nahiin duniyaa ke gam tum ko sataate waadaa hai meraa
Mere dil mein kabhii aa kar thikaanaa to jaraa karte

Sukoon miltaa hai kitnaa ashq jab bahte hain aankhon se
Jhuuthe hi sahii ronaa rulaanaa to jaraa karte

gile shikwe mohabbat ko jawaan kucch aur karte hain
Kabhii tum pyaar mein ladnaa ladaanaa to jaraa karte

Hai gam wo kaun sa jo baantne se kam nahiin hotaa
Khalish tum dard-e-dil sunanaa sunaanaa to jaraa karte

MC Gupta
25 March 2004


११२. KYON SOCHIYE KI KAUN BARBAADII KI WAZAH HAI , 27 March 2004


kyon sochiye ki kaun barbaadii ki wazah hai
shaayad banaane waale kii is mein hi razaa hai

le kar kisii gariib kaa dil todnaa us ko
ye zurm hai sangiin barbaadii hi sazaa hai

kismat ko apnii is kadar hargiz na kosiye
duniyaa mein ham ne jo kiyaa ye us ki kazaa hai

jazbaat ko ashkon mein bahaane se kyaa haasil
har haal mein khush rahne mein jiine kaa mazaa hai

aayeingii ek roz chaman mein bahaar bhii
maanaa ki chhaaii har taraf is waqt khizaa hai

aalam-e-rang-o-buu se jaraa uth ke dekhiye
ruuhaanii duniyaa mein Khalish har waqt fizaa hai.

mc gupta
27-3-04










११३. TUM SE BICHHAD KE AAJ MAIN TANHAA, UDAAS HUUN, 1 April 2004


Tum se bichhad ke aaj main tanhaa, udaas huun
Behad main zindgii se apnii ab niraash huun

Tum kyaa gaye ho le gaye ho ruuh merii sang
Jiitaa huun aise maano faqt zindaa laash huun

Main khokhlaa apne ko yuun mahsuus kartaa huun
Koraa lifaafaa huun mahaz khaalii libaas huun

Duniyaa mein sang-dilon se miltaa aur bhalaa kyaa
patthar mein dhuundhtaa hai dil wo sang-taraash huun

Mujh se na kucch ummiid rakho tum aiye dosto
Bujhtaa diyaa huun sirf ek bujhtii aas huun

Main khojtaa huun us ko jo kismat mein nahiin hai
Taa-umr na puurii ho jo main wo talaash huun

Dukhtii hai rag dil mein mere har waqt maano main
Naasuur huun yaa Khalish huun yaa ek kharaash huun.

M C Gupta
1 April 2004















११४. PAL BHAR KO WO KHWAABON MEIN AA KAR MUSKURAA GAYE, 1 April 2004

Pal bhar ko wo khwaabon mein aa kar muskuraa gaye
Dukhte hue dil par mere marham lagaa gaye

Sochaa kiye kaise jiyeinge rah ke un se duur
Yaadon ke sad ke wo hamein jiinaa sikhaa gaye

Jab jab gam-e-judaaii ne tadpaayaa intahaa
Chupke se raat ko mere sapne mein aa gaye

Hotaa hai gumaan ab bhi wo jaise hain aas paas
Mere dil-o-dimaag par is kadr chhaa gaye

Tum kyaa gaye duniyaa merii viiraan ho gayii
Saarii umr ke waste wo zulm dhaa gaye

Ujdii sahii duniyaa magar ye un ka karam hai
Khyaalon kii Khalish ek hasiin duniyaa basaa gaye.

M C Gupta
1 April 2004















११५. PAL BHAR KE WAASTE HAMEIN SUURAT DIKHAA GAYE, 1 April 2004


Pal bhar ke waaste hamein suurat dikhaa gaye
Zindgii bhar ko hamaare dil pe chaa gaye

Koshish bhulaane kii unhein harchand kii magar
Jitnaa bhulaayaa aur bhi dil mein samaa gaye

Kucch aur suujhtaa nahiin un ke bagair ab
Kyaa kiijiye is kadr wo ham ko lubhaa gaye

Gaahe bagaahe har taraf aate hain wo nazar
Diiwaanaa ham ko is tarah apnaa banaa gaye

Jhuthe hi sahii par Khalish waadaa to kiyaa hai
Milne ka ham ko phir se bharosaa dilaa gaye.

M C Gupta
1 April 2004














११६. DIL KII BAAT KO APNII JUBAAN TAK LAAUN MAIN KAISE, 1 April 2004


Dil kii baat ko apnii jubaan tak laaun main kaise
Hakiikat zindganii kii tumhein batlaauun main kaise

Apne hi khayaalon mein ho rahte is kadar khoye
Main kyonkar pareshaan huun tumhein samjhaaun main kaise

Lagte hain paraaye bhii tum ko to bahut apne
Aise mein tumhaaraa huun nazar mein aauun main kaise

Aasaan hai bahut duniyaa ke rang-o-buu mein kho jaanaa
Magar in se pare jo shai hai wo dikhlaauun main kaise

apne gird kyon pahre lagaa ke itne rakhe hain
tumhaare dil ki gahraaii mein bhalaa jaauun main kaise

tum ne paal rakhe hain Khalish shaq laakh be-buniyaad
yakiin apnii wafaaon kaa tumhein dilwaauun main kaise.


MC Gupta ‘Khalish’
1 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44















११७. HAM NE WAFAAON KA SILAA YE AAJ PAAYAA HAI, 1 April 2004


Ham ne wafaaon ka silaa ye aaj paayaa hai
Gahraa zakhm dil pe zafaa ka un ki khaayaa hai

un kii mohabbat se huaa dil ek din aabaad
Karmon ka un ke aaj mere dil pe saayaa hai

Dil tuutne par kyon na aaye gam bharii aawaaz
Aalam-e-bebasii mein dard-e-dil sunaayaa hai

Kyaa kiijiye aise mein bhalaa yaad ko un kii
Is khaam-khan sawaal ne aksar rulaayaa hai

Jiiyein ki ya mar jaayein ham aise mein kyaa karein
Ye khyaal Khalish baarhaa is dil mein aayaa hai.


MC Gupta ‘Khalish’
I April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











११८. PAL BHAR KO AAYE AUR WO AA KAR CHALE GAYE, 3 April 2004


Pal bhar ko aaye aur wo aa kar chale gaye
Diiwaanaa zindgii ko banaa kar chale gaye

Jo asliyat mein khud mahaz ek khwaab the
Ham ko hasiin khwaab dikhaa kar chale gaye

Dil ne jinhein malkaa-e-mohabbat banaa liyaa
jhuuthii mohabbat ham se jataa kar chale gaye

Pal bhar thahar jaayein ham ne kii bahut fariyaad
Saarii merii fariyaad thukraa kar chale gaye

Na zindgii ke saaz par lautegaa phir kabhii
Nagmaa wo Khalish aisaa sunaa kar chale gaye.

MC Gupta ‘Khalish’
3 April, 2004











११९. BIITE BARAS TUMHARII YAAD NAHIIN JAATII, 3 April 2004


Biite baras tumharii yaad nahiin jaatii
Milne kii ek baar muraad nahiin jaatii

Jhalak tumhaarii phir se paane kii khwaahish
Sab kucch paa lene ke baad nahiin jaatii

Chhaaii hai is kadr tasavvur mein mere
Guzre lamhon kii rudaad nahiin jaatii

Kitnii yaadein dafn huii hain maazii mein
Yaad tumhaarii hai faulaad nahiin jaatii

Khalish tamannaa paane kii tum ko dil se
Kar ke bhi mujh ko barbaad nahiin jaatii.

MC Gupta ‘Khalish’
3 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44












१२०. MERAA KOII BHI NAHIIN, SAATH EK SAAYAA HAI, 3 April 2004


Meraa koii bhi nahiin, saath ek saayaa hai
Aaj kyon dil mein mere khyaal ye samaayaa hai

Ek siaah khaamoshii sab taraf hai barpaa
Kis ne bhuulaa sa mujhe nagmaa sunaayaa hai

Jo kabhii the apne nikle paraaye sab
Ham ne is duniyaa ko bahut ajmaayaa hai

Dil ka lenaa- denaa faaltuu baatein hain
Is kadr in kaa bharam jaane kyon chhaayaa hai

Ishq ke naaz-o-adaa ek rangiin hain balaa
In ke chakkar mein bahut waqt gawaayaa hai

Jin kii aankhon se Khalish pyaar ke jaam piye
Un hii ne zahar bharaa nashtar chubhaayaa hai.

Jaam jin aankhon se pyaar mein chhalkaa kiye
Un hii ne zahar bharaa nashtar chubhaayaa hai.

MC Gupta ‘Khalish’
3 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











१२१. DIL MEIN HAM NE AAP KO APNE BITHAA DIYAA, 7 April 2004


Dil mein ham ne aap ko apne bithaa diyaa
Aap ne nazron se hii ham ko giraa diyaa

Ishq ne hamaare kiyaa husn ko roshan
aashikon ka dil hi aap ne bujhaa diyaa

ham ne dil ko aap ke kadmon mein kiyaa pesh
Aap ne hans kar use thokar lagaa diyaa

Naam-e-mohabbat se ab to ho gayii nafrat
kaisaa zahar aap ne ham ko pilaa diyaa

Husn-o-wafaa hii dikhe the aap mein ham ko
Aap ne ham ko zafaa kaa kyon silaa diyaa
Aarzuu gilaa se Khalish kucch nahiin haasil
Haal-e-dil sunaanaa thaa ham ne sunaa diyaa.



MC Gupta ‘Khalish’
7 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44










१२२. KYAA KAREIN TUM KO SAMAJH PAAYE NAHIIN, 7 April 2004


Kyaa karein tum ko samajh paaye nahiin
Aap ne bhi raaz batlaaye nahiin

Galt-fahamii darmiyaan baDh-tii gayii
Dost uksaane se baaj aaye nahiin

Thaa adaavat kaa wo aalam naamuraad
Ham bhi shak karne se sharmaaye nahiin

Zindgii ne aap se ho kar judaa
Nagmaa-e-ulfat kabhii gaaye nahiin

Kyaa milaa tarq-e-mohabbat se Khalish
Bhuulte hain din wo bhulaaye nahiin

MC Gupta ‘Khalish’
7 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44














१२३. AAP KHAFAA HAIN KI HAM CHUP CHAAP RAHTE HAIN, 9 April 2004


Aap khafaa hain ki ham chup chaap rahte hain
Ham sabhii gam aap ke chup-chaap sahte hain

Kyaa shikaayat karne se hogaa hamein haasil
Jaane kyon ye ashq in aankhon se bahte hain

Dil ka dil se waastaa hotaa hai ulfat mein
Pyaar karne waale kab hothon se kahte hain

Ek din wo jaan leinge mere dil kii baat
Ham isii ummid mein dil thaam baithe hain

Koi din to khatm hogii shab-e-intezaar
Laakh gam dil pe Khalish go aaj dhahte hain.


MC Gupta ‘Khalish’
9 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44














१२४. DIL HAI MERAA UN KE PAAS, PAR MAIN UN SE DUUR HUUN, 9 April 2004


Dil hai meraa un ke paas, par main un se duur huun
Yaaro bin piye hasiin ek nashe mein chuur huun

Ham kabhii chale the saath, bhuul gaye hain wo magar
Main bhulaane se wo din aaj tak mazbuur huun

Pyaar ke wo raat-o-din sirf ab hain daastaan
Jaam chuk jaane pe naa jo utre wo saruur huun

daultein miliin mujhe na dil kii na jahaan kii
Mahfil-e- naakaam-e-ishq dekhiye mashhuur huun

Dil se kyon judaa karuun basaayaa dil mein thaa jise
Bharam kabuul hai mujhe main kisii kaa nuur huun

kyuun wafaa jhuke merii un kii zafaa ke saamne
Hasiin khyaal hai kisii ke dil ka main garuur huun

Pur-sukuun Khalish bahut hai galt-fahmii ye merii
Aakhirii mukaam un ke dil kaa main zaruur huun.

MC Gupta ‘Khalish’
9 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











१२५. ZINDGII MUJH SE BAHUT NAARAAZ HAI SHAAYAD, 9 April 2004


zindgii mujh se bahut naaraaz hai shaayad
thak gayaa ab zindgii kaa saaz hai shaayad

aaj phir bhuulii huii sii yaad ubharii hai
duur se aaii koii awaaz hai shaayad

tod do ek baargii tum dil yahii mere
zunuun naa-muraad kaa ilaaz hai shaayad

khel kar kamsin kalii se raundnaa us ko
ishq kii duniyaa kaa ye riwaaz hai shaayad

naam-e mohabbat pe Khalish jaan de denaa
zindgii mein kaam ye faraaz hai shaayad.

MC Gupta ‘Khalish’
9 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











१२६. AB TO JIIVAN MEIN MERE TANHAAII HII TANHAAII HAI, 9 April 2004


Ab to jiivan mein mere tanhaaii hii tanhaaii hai
Phir kyon yaad kisii kii merii aankhon mein bhar aaii hai

Jis suurat ko dekhe kitne jug biite aur biiteinge
Chupke se vo suurat dil ke kone mein dhundhlaaii hai

Dil kii aazaadii par koii niyam nahiin laaguu hote
Yaad aaiye vo aur adhik jab un kii yaad bhulaaii hai

Pal bhar kaa milnaa khwaabon mein ye bhi koii milnaa hai
Khwaabon mein bhi un ne aksar ham se aankh churaaii hai

Tanhaa jiivan tanhaa din aur tanhaa hee jab raate^ hai^
Khalish bhalaa tanhaa jiine mein phir kaisee ruswaaii hai.




MC Gupta ‘Khalish’
9 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44










१२७. MAINE UN KO JAB BHI DHUUNDHAA APNE DIL MEIN PAAYAA HAI, 9 April 2004


Maine un ko jab bhi dhuundhaa apne dil mein paayaa hai
Warnaa merii duniyaa mein har or andheraa saayaa hai

Kahne ko to bicchud gaye wo nahiin lautnaa hai mumkin
Un kii yaadon ne par mere dil se saath nibhaayaa hai

Aise mein vo mil jaate to zaraa puuchhte ham un se
Sadiyaan biit gayii kyon mere dil ko yuun tadpaayaa hai

Jab jab un kii duurii mere dil se sahii nahiin jaatii
Tab tab un kaa aks utar mere ashkon mein aayaa hai

Tanhaaii mein hii to un kii yaad hameshaa aatii hai
Beshkiimtii Khalish tumhaaraa tanhaaii sarmaayaa hai.

MC Gupta ‘Khalish’
9 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१२८. ZINDGII AB TO MUJHE AARAAM KARNE DE, 14April 2004


Zindgii ab to mujhe aaraam karne de
Raaston ko aakhirii salaam karne de

Thak gayaa huun ab uthaa saktaa nahiin in ko
Duniyaa ke gam duniyaa ke hi naam karne de

Umr yuun to kat gaii hai khushk-lab merii
Aaj rangiin zindgii ki shaam karne de

Aa gayaa hai waqt-e-rukhsat zindgii mujh ko
Maut kaa dil se ehtiraam karne de

Sahraa mein kho jaaun Khalish kyon chaDhuun kaandhe
Doston kaa kaam kucch aasaan karne de.

MC Gupta ‘Khalish’
14 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१२९. KARNE WAALAA MUJH PE SITAM YAA KARAM KOII NA HO
15 April 2004
karne waalaa mujh pe sitam yaa karam koii na ho
dostii mein dushmanii ka ab bharam koii na ho

Har kadam par raah-e-manzil mein aataa hai khayaal
Shaayad is ke baad aglaa phir kadam koii na ho

Aiye mohabbat tere rasm-o-vaayadon kaa shukriyaa
Dil-shikan koii na ho ab dilrubaa koii na ho

Gam uthaane kii mujhe aadat sii pad gayii hai yuun
Raas jo mujh ko na aaiye aisaa gam koii na ho

Daag kitne lag chuke hain mere dil pe baarhaa
Chaak kar jaaye jo siinaa wo alam koii na ho

Farq se gam-o- khushii ke ho gayaa huun duur main
Ab Khalish mere zahan mein dam-ba-dam koii na ho.


MC Gupta ‘Khalish’
15 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44







१३०. सब जानते हैं एक दिन सब को ही जाना है—RAS--ईकविता, ४ मई, २००८

सब जानते हैं एक दिन सब को ही जाना है
दुनिया है इक सराय, दो दिन का ठिकाना है

दुनिया तुम्हारे बिन रही कायम है सदियों से
क्यों फ़ैसला इस को बदल देने का ठाना है

जीने के जो असूल हैं दुनिया में इखलाकी
उन्हें ईमानदारी से भरसक निभाना है

इंसान को वाज़िब है अपने फ़र्ज़ पे चले
होगा नतीज़ा क्या इसे दिल से भुलाना है

चान्दी की दौलत तो जहां में छूट जायेगी
रूहानी दौलत से हमें दिल को लगाना है

जीयो यहां ऐसे रहो हर हाल में तुम ख़ुश
दिल पे ग़मों के साये से ख़ुद को बचाना है

मौला की इबादत करो सच्चा वही है एक
ख़ुदगर्ज़ फरेबी ख़लिश झूठा ज़माना है.

महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश
१६ अप्रेल २००४

००००००००००००००००

Monday, 5 May, 2008 7:10 AM
From: "mouli pershad" cmpershad@yahoo.com

जीने के हैं असूल दुनिया में जो इखलाकी
उन को हमें ताउम्र ही दिल से निभाना है

अखलाक़-ओ-असूल से जी ले जितनी है बाकी़
खुन-ओ-खलिश से ज़माने को बचाना है


००००००००००००
Tuesday, 6 May, 2008 1:33 AM
From: "Prem Sahajwala" pc_sahajwala2005@yahoo.com

बहुत खूब खलिश जी,
जीने के हैं असूल दुनिया में जो इखलाकी
उन को हमें ताउम्र ही दिल से निभाना है

इंसान को वाज़िब है अपने फ़र्ज़ पे चले
होगा नतीज़ा क्या इसे दिल से भुलाना
२. चाहूँगा कि यदि आप की कोई किताब हो तो उसे कहाँ से प्राप्त करूं
प्रेम सहजवाला

०००००००००००००००००००

Sunday, 4 May, 2008 8:39 PM
From: "parmod moudgil" p2ptto@yahoo.com
प्रिय गुप्ता जी आपकी दोनो रचनायं खूब्सूरत है
प्रभु ने मानव को अन्य जीवों के मुकाब्ले ज्यादा बुद्धी दी,मगर उसने तो बुद्धि के साथ विवेक ,भला बुरा जानने की ्शक्ति भी दी थी बस उसको खोकर ही हम दुखी हैं.
श्याम्सखा श्याम
०००००००००००००००००

SAB JAANTE HAIN EK DIN SAB KO HII JAANAA HAI

Sab jaante hain ek din sab ko hii jaanaa hai
Duniyaa to ek saraai, do din kaa thikaanaa hai

Kaayam zamaanaa thaa hamaare bin bhi sadiyon se
Is ko badal dene ka to koraa bahaanaa hai

Ihklaaki kucch asuul buniyaadii hain jiine ke
Bande kaa asl kaam bas un ko nibaahnaa hai

Insaan ko waazib hai apne farz par chale
Hogaa natiizaa kyaa ise dil se bhulaanaa hai

Chaandii ki daulat chand din mein chhuut jaayegii
Ruuhaanii daulat ko hamein dil mein bithaanaa hai

Mahfil-o-maikhaane mein tum zyaadaa na ulajhnaa
Kucch waqt maulaa kii ibaadat mein lagaanaa hai

Jiiyein Khalish aise ki ham har haal mein khush hon
Gam se pareshaan hone se khud ko bachaanaa ha.

MC Gupta ‘Khalish’
16 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44








१३१. DIL MEIN TASWIIR HAI KAAGAZ PE BANAAUUN KAISE

Dil mein taswiir hai kaagaz pe banaauun kaise
Khayaalon ko lafzon mein bataauun kaise

Na karo zikr mohabbat ka yaarab mujh se
dil ke raaz mahfil mein jataauun kaise

aayaa thaa jo hothon pe faqt un ke liye
wo giit zamaane ko sunaauun kaise

wo gaye to duniyaa ujad gayii merii
Tanhaa dil ko aise mein manaauun kaise

Din raat nigaahon mein wahii rahte hain
Suurat-e-gair sapnon mein sajaauun kaise

Un ke naam sabhii khwaab kar diye hain Khalish
Tasavvur mein kisii aur ko laauun kaise.


MC Gupta ‘Khalish’
17 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१३२. WO JAATE RAHE HAM BULAATE RAHE

Wo jaate rahe ham bulaate rahe
Wo na maane unhein ham manaate rahe

Laut kar phir se wo kaash aa jaayeinge
Ham dilaasaa ye khud ko dilaate rahe

Maaf kar deinge wo gar khataa kucch huii
Aise dil mein khayaalaat aate rahe

Din guzarte gaye wo na aaye magar
Wo hasiin khwaab bhi ab to jaate rahe

Kyon Khalish sang-e-dil se ta-umr tum
Be-wajah apne dil ko lagaate rahe.


MC Gupta ‘Khalish’
17 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44

NOTE—See 174 for same radiif.








१३३. MILNAA CHAAHTE HAIN TUM SE PAR HAM MIL NAHIIN SAKTE

Milnaa chaahte hain tum se par ham mil nahiin sakte
Mere sahraa-e-dil mein ab kabhii gul khil nahiin sakte

Bahut aasaan hai ranjish bhulaane kii salaah denaa
Hakiikat hai phate ek baar jo dil sil nahiin sakte

Bahaaron mein hansiin bahlaauun main dil ko bhalaa kaise
Base hain gam jo siine mein wahaan se hil nahiin sakte

Chhupaa ke itne gahre maine apne dil mein rakhe hain
Kurede laakh koii daag mere chhil nahiin sakte

Manzar is kadar dar-khauf in aankhon ne dekhe hain
Nazar mein ab Khalish rangiin nazaare jhil nahiin sakte.


MC Gupta ‘Khalish’
17 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44












१३४. LIPSTICK

Hothon pe chaar chaand lagaatii hai lipstick
Kyaa kyaa balaa dilon pe ye dhaatii hai lipstick

yuun to jamaal aap ke rukh kaa hai be-misaal
kucch aur jyaadaa husn badhaatii hai lipstick

sun le jo in labon se nazm-e-ishq ek baar
diiwaanaa us ko aur banaatii hai lipstick

naazuk labon pe aap ke laalii ye gazab kii
kitaab-e-ghazal mein nuktaa lagaatii hai lipstick

adnaa sii dibiyaa ka Khalish ye dekhiye kamaal
paanii badon-badon ko pilaatii hai lipstick.


MC Gupta ‘Khalish’
19 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44








१३५. Ho ke be-pardaa nazar aap milaayein ham se

Ho ke be-pardaa nazar aap milaayein ham se
Jitne bhi kahein sazde aap karaayein ham se

Badhtii huii dhadkan pe karam farmaaein
Is kadar pyaar mein nazrein na churaayein ham se

Dil ke jazbaat chhupaane se nahiin chhup sakte
Jhuuthaa gussa na nigaahon mein jataayein ham se

Aap kyon itne pareshaan nazar aate hain
Raaz aankhon ki namii kaa na chhupaayein ham se

Aaj kii shaam to bas yuun hii chalii jaatii hai
Bahaanaa phir milne kaa banaayein ham se

Ham aap ko dil apnaa diye baithe hain
Dil aap Khalish kaash lagaayein ham se.


MC Gupta ‘Khalish’
21 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











१३६. ZINDGII MERII SAWAALIAA NISHAAN HAI

Zindgii merii sawaaliaa nishaan hai
Har roz zindgii ka ek imtihaan hai

Ruswaaii ke siwaai mohabbat mein kyaa milaa
Dil ko lagaane kaa ajab kaisaa inaam hai

Zulm-o-sitam zamaane ke kyaa kiijiye bayaan
Maashuuk meraa merii tarah be-zubaan hai

Jii kar milegaa kyaa hamein aise jahaan mein
Har subah jis kii maut kaa maano payaam hai

Main baaj aa gayaa huun apnii hasraton se ab
Kyaa kiijiye Khalish abhii ye dil jawaan hai.

MC Gupta ‘Khalish’
25 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१३७. ZINDGII MAIN TUJH SE BAHUT SHARMSAAR HUUN

Zindgii main tujh se bahut sharmsaar huun
Kucch na ban sakaa main teraa gunahgaar huun

Meraa wazuud kucch nahiin aur hashr bhi nahiin
Dilbar ke dil mein khil na sakaa main wo pyaar huun

Taktii hain kyon rukhsaar ko mere ye nigaahein
Jo aaye andhere mein saruur-o-nikhaar huun

Karnaa muaaf dosto naa-kaamiyaan merii
Gulshan mein jo laaye khizaa main wo bahaar huun

Kyaa hai mere kariib kisii ko jo de sakuun
Main faqt yaaro muflisii kaa ek gubaar huun

Is tarah gam se rahaa rishtaa Khalish meraa
Umr bhar jo mil na paayaa wo karaar huun.


MC Gupta ‘Khalish’
27 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











१३८. ZINDGII KII ULJHANEIN SULJHEINGII KYAA MERII

zindgii kii uljhanein suljheingii kyaa merii
dil kii tanhaa dhadkanein samhleingii kyaa merii

dafn khud apne hi haathon kar diyaa jin ko
yaad wo guzrii huii lauteingii kyaa merii

hain hakiikat aaj merii zindgii kii jo
suunii sham aur raat ab badleingii kyaa merii

jab bahaaron ne kinaaraa kar liyaa mujh se
ab tamannaa phir kabhii ubhreingii kyaa merii

waqt-e-tanhaaii mein Khalish aataa hai khayaal
aankh giilii ho ke ab suukheingii kyaa merii.


MC Gupta ‘Khalish’
28 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१३९. TUM SE MAIN DIL JODNAA CHAHTAA HUUN

tum se main dil jodnaa chahtaa huun
hawaaon ka rukh modnaa chaahtaa huun

ruswaaii se ab dartaa nahiin main
ilzaam-e-ishq odhnaa chaahtaa huun

Shuruaat ho ek nayii zindgii kii
Gayii zindgii chhodnaa chaahtaa huun

Zamaane mujhe ab na ilzaam denaa
Riwaazon ko main todnaa chaahtaa huun

Pilaaye zahar se bhare jaam jis ne
Wo pyaalaa Khalish phodnaa chaahtaa huun.

MC Gupta ‘Khalish’
28 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44










१४०. PAANAA NA TUM KO BHULAANAA HAI MUMKIN

Paanaa na tum ko bhulaanaa hai mumkin
faqt ek nagmaa sunaanaa hai mumkin

Kuchal do zamaane ki rasmein dikhaa do
kar ke mohabbat nibaahnaa hai mumkin

Himmat ho khud mein khudaa par bharosaa
Kile ret main bhii banaanaa hai mumkin

Maanaa zafaaein bahut hain hawaa mein
Magar pyaar sacchha bhi paanaa hai mumkin

Rote ho barbaadiyon mein Khalish kyon
Khijaaon mein bhi muskaraanaa hai mumkin.


MC Gupta ‘Khalish’
28 April 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44










१४१. MERAA DIL KISII KE BHI KAABIL NAHIIN HAI

Meraa dil kisii ke bhi kaabil nahiin hai
Siine mein shaayad asal dil nahiin hai

Huaa na katl ye nazar se kisii kii
Kisii aur kaa bhi ye kaatil nahiin hai

Mujh se meraa dil kabhii puuchhtaa hai
Kyaa tujh ko duniyaa mein haasil nahiin hai

Paakiizgii hai mohabbat mein merii
Gunaah is mein koii bhi shaamil nahiin hai

Himmat salaamat rahe to pahunchnaa
Manzil pe insaan ko mushkil nahiin hai

Akelaa huun kashtii hai majh-dhaar merii
Nazar aataa koii bhi saahil nahiin hai

Patthar to hai haath mein par Khalish
Phainkne waale logon mein shaamil nahiin hai.

M C Gupta ‘Khalish’
29 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44











१४२. MERE MAHBUUB CHALO AAJ ALAG HO JAAYEIN

Mere mahbuub chalo aaj alag ho jaayein
Apnii raahein hain judaa un mein kahiin kho jaayein

Nahiin laazim ke safar kar ke shuruu ruk na sakein
Raaste hain ye ajab jaane kidhar ko jaayein

Koii wadaa to karo aaj nibaahne ke liye
Phir na dekhoge kabhii mud ke kaho to jaayein

Ham ne siikhaa hai fanaa pyaar ki khaatir honaa
Kyon unhein rokein agar raah-e-zafaa wo jaayein

Dil-e-naakaam ko rahne do ab andheron mein
Kah do kismat ke charaagon se Khalish so jaayein.

M C Gupta ‘Khalish’
30 April, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44













१४३. सभी कहते थे तुम को देखने वाला फ़िदा होगा –sent to EK and HK, १ मई २००४--RAMAS

सभी कहते थे तुम को देखने वाला फ़िदा होगा
बसर एक ज़ुल्फ़ की ज़न्ज़ीर में उस का सदा होगा

न था मालूम फ़ितरत ज़ुल्फ़ की होगी मगर ऐसी
कभी करना मोहब्बत तर्क किस्मत में बदा होगा

बयां क्योंकर करूं मैं सिलसिला तेरी जफ़ाओं का
सुनेगा जो भी मेरा हाल नाहक ग़मशुदा होगा

बहाओ अश्क अब तनहाइयों में रात भर जितने
मोहब्बत और वफ़ा का फ़र्ज़ क्या इस से अदा होगा

न तुम मुझ को कभी आवाज़ देना दूर से हमदम
बिछुड कर याद करने से भला क्या फ़ायदा होगा

जो हम कहते हैं करते हैं तुम्हारे मुल्क में शायद
कसम खा के मुकरने का भी कोई कायदा होगा

किताब-ए-इश्क का पन्ना पलट दो क्यों झिझकते हो
यही शायद नई एक ज़िन्दगी का इब्तदा होगा

अग़र खाली है पैमाना तो क्यों न तोड़ दो उस को
ख़लिश तुम को तो हासिल हर गली में मैकदा होगा.

महेश चंद्र गुप्त खलिश
१ मई २००४




SABHII KAHTE THE TUM KO DEKHNE WAALAA FIDAA HOGAA—[unrevised]

Sabhii kahte the tum ko dekhne waalaa fidaa hogaa
Basar ek zulf kii zanziir mein us kaa sadaa hogaa

Na thaa maaluum fitrat zulf kii hogii magar aisii
Kabhii karnaa mohabbat tarq kismat mein badaa hogaa

Bayaan hogaa zafaaon kaa tumhaarii silsilaa kaise
sunegaa haal jo bhi dost meraa gam-shudaa hogaa

na tum mujh ko kabhii aawaaz denaa duur se hamdam
bicchud kar yaad karne se bhalaa kyaa faaidaa hogaa

bahaao ashq ab tanhaaiyon mein raat bhar jitne
mohabbat kii wafaa kaa farz kyaa is se adaa hogaa

Jo ham kahte hain karte hain tumhaare mulk mein shaayad
kasam khaa kar mukarne kaa bhi koii kaidaa hogaa

kitaab-e-ishq kaa pannaa palat do, kyon jhijhakte ho
yahii shaayad nayii ek zindgii kaa ibtdaa hogaa

agar paimaanaa khaalii ho gayaa to tod do us ko
Khalish tum ko to haasil har galii mein maikadaa hogaa.

M C Gupta ‘Khalish’
1 May, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44




hi mahesh ji !
Sir buhat mazrat chahti hon ...aap ko aap k naam sey pukara....mujhey buhat bura lag raha hai ...aap ko aap k naam sey pukarney ka matlab har giz aap ki respect mien kami ki gharaz nahin thi...darasal merey buhat sey dost ebazm k memberan hain to wo sab meri hi umer k areeb Qareeb hain issi liye mien ney soucha k aap bhi merey hi humumer hongey..ik baar phir mazrat chahti hon.....mien pakistan k shehr Karachi ki hon...aap k barey mien jan kar achcha laga k aap doc. hain aur ab medico legal cases ko handle kartey hain..ik mazey ki baat aap ko bataaon..mien bhi medical ki student hon 3rd year mien hon aur mera sab sey pasaandeeda subject Forensic medicine hai.....aap k liye buhat respect thi ab aur bhi ziyada ho gaye hai ye jaan kar k aap merey senior hain ..Khuda gawah hai k aap ki biwi ka sun kar buhat afsoos hua jaanti hon k ye sab aap k ghum mien aur izafa kar sakta hai ..par kia karon mujhey buhat ajeeb lag raha hai ye jaan kar ...zindagi aur maut to Allah k haath hai...par najaney kiyon aissa lagraha hai k shayad aap k ghum mien aur izafa meri waja sey hua hai .. aap ki ghazal ka ik shair parha jo aap ney abhi bhaiji hai ...sachi bataon aur parhney ki himmat nahin hui aur mien nahin pareh paai ...umeed karti hon k aap mind nahi karien gey ..buhat touchy hai buhat ziyada...jaan kar achcha laga k aap ik kitaab likhna chahtey hain ...jab bhi likhiye to mujhey zaroor batiye ga...mujhey achcha lagey ka k itney azeem shair merey sathi hain aur mien fakhar sey bataon gi logon ko....aur ik aur baat aap ka andaaz waqai buhat achcha hai .....
apna buhat khayal rakhiye ga
bye
dua go
Saba sattar
20 May 2004

*********************

From: Ripudaman Pachauri <pachauriripu@yahoo.com>

Date: Jul 5, 2006 9:48 PM
Subject: Re: १४०. सभी कहते थे तुम को देखने वाला फ़िदा होगा --५ जुलाई २००६ को प्रेषित

Khalish ji !

aap ko personal mail likh raha hun. batana chaataa hun ki aap ki
gazal/nazam bahut acchi lagi. aur sabse acchi baat mujhe ye lagtee
hai kee aap bahut gahree baat kahte hain.

mein soach mein tha, itne saare gahre vichaar. itni khoobsoorat aap
ki padad ( hindi aur urdu dono mein hee ), kaise hai ? aur aap log
itni teevrrtaa se kaise likh lete hain, dhekhtaa hun kee ausatan har
roz ek rachnaa aap likhte hain. aur itni jaldee mein bhi likhi hui
kavitaa mein koi trutee see nahin lagtee. aisaa kyun ur kaise.

kuch mujh ko gyaan deejiye, yaa koi raah hi dhikaaeye. gazal per
itnaa dhaan de paaoon abhi itnaa saamarth nahin hai, kavitaa aur
nazam ke bare mein hi kuch bata deejiye.

aap kaa article maine pada tha, Gazal ke upper jo aap ne likhaa tha.
acchaa laga.

aap agar koi tip dey-dein, to meri kavitaa savar jaayegi, aisaa
meraa vishvaas hai.

aap se kuch gyaan milne kee abhilaasha mein.
Ripudaman

********0

प्रिय रिपुदमन जी,

पत्र के लिये धन्यवाद. मुझे बहुत संकोच हो रहा है कि क्या लिखूं. औपाचार्क रूप से तो मेरी हिन्दी की पढ़ाई केवल नवीं क्लास तक रही, फिर विज्ञान, मेडिकल क्षेत्र में चला गया, ५ वर्ष पूर्व वकालत शुरू की. साहित्य का विधिवत अध्ययन कभी न कर पाया, इच्छा बहुत रही.तथापि, चिकित्सा क्षेत्र में अनेक पुस्तकें हिन्दी में लिखी हैं.

कविता लिखना केवल ३ वर्ष पूर्व शुरू किया, हिन्दी तथा अंग्रेज़ी, दोनों में. हिन्दी कविता में गज़ल लिखना मुझे अच्छा लगा. गज़ल लिखते समय उर्दू का समावेश हो ही जाता है.

मैं आप को अथवा किसी अन्य को साहित्य विषयक ज्ञान देने योग्य नहीं समझता. तथापि, अपने अनुभव के आधार पर इतना ही कह सकता हूं--

१. कविता में भावना प्रधान है किन्तु प्रारूप को गौण नहीं समझना चाहिये. आज कल हर एक व्यक्ति कवि बनना चाहता है किन्तु कविता के नियमों को सीखने की ज़हमत उठाना नहीं चाहता. There is no short cut to success.

2. अतुकान्त कविता करने से पहले तुकान्त, छ्न्द-युक्त कविता करना सीखना चाहिये. नियम तोड़ने का अधिकारी बनने से पहले नियम निभाना आना चाहिये.

३. जहां तक शीघ्रता से लिखने की बात है, इस का एक ही राज़ है--Practice makes one perfect. अब तक ३५० से अधिक कविताएं, अधिकान्श गज़ल, लिख चुका हूं, सो प्रेक्टिस सी हो गई है.

४. जहां तक गहराई का सवाल है, यह तो शायद उम्र का तकाज़ा है. ६४ साल जीते जीते अनेक अनुभव हो ही जाते हैं.

प्रेम बनाये रखें.

महेश गुप्त
५ जुलाई २००६

000000000000000

From: Shyamal Kishor Jha <shyamalsuman@yahoo.co.in
Date: Jul 6, 2006 8:19 AM

खलिश साहब,

बहुत ही सुन्दर रचना है। मेरी दृष्टि में खासकर निम्न दो शेर कमाल के बन पडे हैंः

बहाओ अश्क अब तनहाइयों में रात भर जितने
मोहब्बत की वफ़ा का फ़र्ज़ क्या इस से अदा होगा

जो हम कहते हैं करते हैं तुम्हारे मुल्क में शायद
कसम खा के मुकरने का भी कोई कायदा होगा

बधाई।
श्यामल सुमन

00000000000000000000

From: Kapil Soni <kapisoni@gmail.com> Mailed-By: googlegroups.com
Reply-To: hindikavita@googlegroups.com
Date: Jul 6, 2006 5:09 PM

Sir mja aa gya agar ese hi or kuch ghazal bejhte rhe to aapka sukriya.
bahut bahut shukriya................

kapilsoni











१४४. MAIN TERE PYAAR KE KAABIL TO NAHIIN HUUN SHAAYAD

Main tere pyaar ke kaabil to nahiin huun shaayad
Terii nafrat ka bhi baayas na banuun shaayad

Terii har shokh adaa par main abhii martaa huun
Kal main diidaar ka haqdaar na rahuun shaayad

Kaise ehsaas-e-mohabbat main karaauun tujh ko
Le ke faryaad tere kadmon mein paduun shaayad

Kyaa silaa merii wafaa ka hai faqt itnaa
Umr bhar sitm mohabbat mein sahuun shaayad

Nahiin manzuur tumhaarii hai Khalish ruswaaii
Zikr ta-umr tumhaaraa na karuun shaayad.

M C Gupta ‘Khalish’
11 May 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१४५. NA PUUCHHO KIS LIYE MAIN NAZM-O-ASHAAR LIKHTAA HUUN

Na puuchho kis liye main nazm-o-ashaar likhtaa huun
Bahut ho kar gam-e-duniyaa se main laachaar likhtaa huun

Hazaaron zakhm hain dil mein mere har waqt riste hain
Faqt gham galt karne ko ghazal do-chaar likhtaa huun

Mere ashaar mein bahte hain mere dard ke aansuu
Zamaanaa thiik hii kahtaa hai main bekaar likhtaa huun

Andheraa hi andheraa zindgii mein hai merii lekin
Dikhtaa hai tasavvur mein wo jab rukhsaar likhtaa huun

Mere mahbuub chand ashaar tum ko khat mein bheje hain
Tumhaare ishq kaa ban kar bahut biimaar likhtaa huun

Na tum se guft-guu hotii hai na diidaar hotaa hai
Jataane ko mujhe kitnaa hai tum se pyaar likhtaa huun

Kazaa do tum sazaa do yaa hansiin saugaat do koii
Mile kucch to Khalish ye karte intezaar likhtaa huun

M C Gupta ‘Khalish’
13 May 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44
From:
Ramesh Nadagouda <R.Nadagouda@zensar.com>
To: <mcgupta44@rediffmail.com>


Subject: RE: [eBazm] Na puuchho kis liye main nazm-o-ashaar likhtaa huun


Date: Fri, 21 May 2004 11:15:09 IST


Hello Sir,
Its a very nicely written Ghazal.
Thanks for the contribution.
Regards,
Ramesh.






१४६. NA HONGE ZINDGII MEIN AAP TO KUCCH TO KAMII HOGII

Na honge zindgii mein aap to kucch to kamii hogii
Jo hogaa waqt-e-rukhsat aankh mein kucch to namii hogii

Chale jaaoge tum ek din bahut se saal biiteinge
Magar suurat tumhaarii aankh mein phir bhi ramii hogii

Khileinge phuul yuun to phir bhi jab hogii suhaanii rut
Judaa ho aap se viiraan ye kucch to zamiin hogii

Duniyaa aap ke dam se merii rangiin hai kitnii
Na saayaa ap ka hogaa, fizaa mein sansanii hogii

Tumhaare gham mein din bhar aaj kal bezaar rahtaa hai
Khalish ke doston se ye khabar tum ne sunii hogii.


M C Gupta ‘Khalish’
10n June 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44







१४७. HAM NE SARAAHAA AAP KYON NAARAAZ HO GAYE

Ham ne saraahaa aap kyon naaraaz ho gaye
Ukhre hue kyon aap ke andaaz ho gaye

Kucch to karam farmaaiye dil par mere huzuur
Maanaa ki bade aap tiirandaaz ho gaye

Kyon kar bharosaa kiijiye aur kis pe ab Khalish
Vaadaa hi todne ke jab riwaaz ho gaye

Maanind-e-tifl kal talaq ghutnon ke bal chale
Ham ne uthaa diyaa to ab parwaaz ho gaye

Paayiin faqt ruswaaiyaan un se jinhein Khalish
Samajhe the zindgii ke ab hamraaz ho gaye


M C Gupta ‘Khalish’
10n June 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









१४८. HAZAARON LADKIYAAN AISI KE HAR LADKII PE DAM NIKLE*

hazaaron ladkiyaan aisi ke har ladkii pe dam nikle
hazaaron dekhe hain ladke magar sab be-sharam nikle

ladkaa hotaa hai paidaa, manaate jashn hain har suu
ladkii ko kahaa jaataa hai ki phuute karam nikle

jimmedaariyaan ladkii nibaahti do gharon ki hai
apne ghar ki parwaah karne waale ladke kam nikle

biiwii raat din kunbe ki uljhan mein pareishaan hai
shauhar ghar mein aaye to zubaan se bas hukam nikle

uthaate haath hain biiwii pe karte baat talkhii se
zubaan se biiwii ke lekin lafz behad naram nikle

koii samjhaao in mardon ko kyon magruur rahte hain
behtar hone ka kaise Khalish in kaa bharam nikle.


• Written as a retort to:

hazaroon ladkiyan aisi ke har larki pay dam nikle
jis ladki pay dam nikle wo ladki ghar se kam nikle


M C Gupta ‘Khalish’
14 June 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44













१४९. BEMAANII SABHII KASMEIN, KASMON KA BHAROSAA KYAA

Bemaanii sabhii kasmein, kasmon ka bharosaa kyaa
jhuute hain sabhii vaade vaadon ka bharosaa kyaa

ho jaate judaa pal mein hamsafar zamaane ke
murjhaate hain do din mein phuulon ka bharosaa kyaa

ab mujh ko hansiin vaadon se aur na bahlaao
jab dil hi nahiin apnaa gairon ka bharosaa kyaa

do jism aur ek jaan ki baatein to suhaanii hain
naazuk lab se niklii baaton ka bharosaa kyaa

kahte hain jawaanii mein duniyaa ko badal deinge
ab jaanaa budhaape mein haathon ka bharosaa kyaa

khaalii the haath gayaa duniyaa se sikandar jab
aiye Khalish bhalaa phir tum jaison ka bharosaa kyaa.


M C Gupta ‘Khalish’
14 June 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44













१५०. JAB PYAAR KISII SE HOTAA HAI


Jab pyaar kisii se hotaa hai
Dil chupke chupke rotaa hai

un hijr ki lambii raaton mein
dil ashkon se gam dhotaa hai

Dil bhi rotaa hai aankhein bhi
Donon mein kucch samjhautaa hai

chalte hain tiir nazar ke jab
Dil khaataa gahraa gotaa hai

ruk jaatii hai jaise dhadkan
dil hosh hi maano khotaa hai

aagaah kiyaa tha pahle hi
kyon biij gamon ke botaa hai

dil lagaa ke ab kyon daaman ko
ashkon se Khalish bhigotaa hai.


M C Gupta ‘Khalish’
14 June 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









© Copyright 2008 Dr M C Gupta (UN: mcgupta44 at Writing.Com). All rights reserved.
Dr M C Gupta has granted Writing.Com, its affiliates and its syndicates non-exclusive rights to display this work.
Log in to Leave Feedback
Username:
Password: <Show>
Not a Member?
Signup right now, for free!
All accounts include:
*Bullet* FREE Email @Writing.Com!
*Bullet* FREE Portfolio Services!
Printed from https://www.writing.com/main/books.php/entry_id/626791