*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1512990-Aisa-laga-tum-Aaye
Rated: E · Other · Emotional · #1512990
A subtle free versed lyrics which marks the image of hope in separation
Aisa laga tum aaye





Aisa laga tum aaye,

Ek aahat hui thee |

Wo to chaukath, tumhari dastak ke liye

Sookh raha tha, aawaaz aa rahi thee ||



Aankh lag gayi thee ||



Neend ab tooti hai,

Darwaaza ab bhi soona hai |

Par kyun lagta hai ye bar bar

Ki lo! ek aahat hui hai ||



Sirf kehne wali baat nahi hai ||



Keh kar koi gaya to tha,

Ki darwaaza band mat karma |

Parde laga dena

Khidki se raste par dekhti rehna ||



Dekhte dekhte saanjh se raat ho gayi ||



Raat se raatein ho gayeen, subah kab aayegi?

Kahin dhundh se dhundhli to nahi ho gayi?

Chulha jalaoon, to wahan bhi dhuan,

Law kab aayegi??



© Copyright 2009 Priyanka (priyankajsr at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1512990-Aisa-laga-tum-Aaye