*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1740334-Malaria
by aryan
Rated: E · Fiction · Comedy · #1740334
this is a fictional story. created, when i came to know that i have acquired malaria
Aaj se kuch 200 saal pehle ki baat hai. Uttar Pradesh ke Surajpur naamak gaon ki. Hari Prasad naam ka ek aadmi tha, uski biwi ka naam tha Premlata. Unhe do bete the, Prakash aur Ravi.



Unke ghar se kuch hi kos door ek aur parivar rehta tha, Ramesh Lal aur Hema ka. Unhe ek beti thi, jiska naam tha Saraswati.



Gaon  ke ek mele mein Prakash aur Saraswati mile, uss samay woh sirf dus saal ki umar ke the. Aur dono mein pyaar ho gaya. Dono ek dusre ka naam lekar bade huye. Prakash ke pariwar waalon ki taraf se Saraswati ke liye haan thi, par Saraswati ke gharwaalon ki taraf se Prakash ke liye na thi. Fir ek raat dono ne milkar ghar se bhaag jaane ka faisla kiya. Aur wo bhaag kar shaadi kar liye. Prakash rojmarrra ki zindagi se bina tang aakar Saraswati ka dhyaan rakhta tha.



Teen saal baad, unhe do bacche huye, ladkiyaan. Saraswati aur Prakash dono ne milkar unke naam-karan-sanskar ki rasam ko poora kiya. Aur unhe naam diya Moully aur Riya.



Dheere, dheere dono bacche bade hone lage. Moully aur Riya dono hi bade honhaar the. Ek baar ek raat ek ghatna ghatit huyi. Poora pariwar Prakash, Saraswati, Moully aur Riya apne gaon ke ghar mein so rahe the. Moully se ek khidki khuli reh gayi. Achanak ek macchar ne unke ghar mein pravesh kiya, aur uss macchar ne Prakash aur Saraswati ko apni soooeeeiii jaisi tez jeeb se duss liya, aur woh bereham macchar ud gaya. Woh Prakash aur Saraswati ki aakhri raat thi. Agli subah gaon ke logon ne unka antim sanskaar kiya.



Ek Mahapanchayat ko bulaya gaya, jisme paanch gaon ke sarpanchon ne hissa liya. Unme paachon sarpanchon mein se ek Maha Sarpanch bana. Panchayat aur gaon ke logon ne Moully aur Riya ko hi Prakash aur Saraswati ki maut ka gunhegaar tehraya, kyunki woh bechaari ladkiyaan thi.



Aur tab se lekar aaj tak, woh bimari, jisse Prakash aur Saraswati ki maut huyi thi, use MALARIA (Moully+Riya) ke naam se jaana jata hai.



Yeh thi Malaria ki dukhbhari daastan !!!!! :)   

 
© Copyright 2011 aryan (ss.ankur at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1740334-Malaria