*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1327784-sufi
by jazz
Rated: E · Poetry · Spiritual · #1327784
the poem is on sufi term 'ANLAHAK' (i am god). related to ved term ' aham bramhasmi'
mujhme main hun basa.
mere bin ye kaaynat kya?
kya ye zameen ??
  kya ye aasman ??
kya waqt bewaqt ??
anlahak anklahak anlahak anlahak


zindagi ki saans hun main
ruuh ki aawaz main
dil ki dhadkane mujhse
ye waadiyan, ghata hun main
mere bin kya zannat
              kya ye dozakh?
anlahak anklahak anlahak anlahak


pattiyon ( leaves ) ki sarsarahat mujhse
saaj ka suur hun main
jang- e- maidan  me arjun ki bujdili hun main
mere bin kya jeet ka jazba
              kya haar ka dard
anlahak anklahak anlahak anlahak

taaro ki jhilmilatahto mein
amavas ki kaali raat main
is jahan se us jahaan tak
bas mera hi mear haq
anlahak anklahak anlahak anlahak




© Copyright 2007 jazz (jazz at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1327784-sufi