*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1726869-NAI-ZAMIN-KA-KHOWAB-IN-URDU
Rated: · Non-fiction · Writing · #1726869
i talk to you in urdu langugue. About new country. A country of free of poeple.
Es duniya main kitne mulk hen? Aur kitni sarhden hen. Allah ki zamin ko banta gaya he. Aur mulk to aik ghar ki hota he. Jese hum apne ghar se piyar karte hen sajate sanwarte hen bulkul usi tarh hum ko apne mulk se piyar karna chaiye sajana sanwarna chaiye aur dil aur jan se khayal rakhna chaiye. Mgr esa nahin ho raha he.

Kiyon? Es ka jawab dhondhna he. Main apne tor par es ka jawab deta hon.

Asal main jis mulk main hum rehte hen us main mojod hakim apni awam ka khayal nahin rakhte. Un ko wo sakon nahin dete jo apne ghar main rehne se milta he. Masawat aur barabri nahin he. Kisi ke pas 1000 aikar zamin he to kisi ke pas apni jopri banane tak ke liye zamin nahin he. Amir ziyada amir aur garib ziyada grib ho raha he. Ye sb mulk main mojod hakim ki waja se he. Qanon aur insaf nahin he. Garib ko NGO's ke hawale kar ke un ko bhik mangne par majbor karte hen. Har mahine un ko aik makhsos raqam de kar un ko wakti khoshi de dete hen. Es halt main kon apne mulk se piyar kare ga. Kon chaiye ga ke humara mulk es tarh ke mahol ke sath zinda rahe. Amir to bs apni jagir se piyar karte hen. Tarikh batati he ke amiron se kabhi mulk wijod main nahin aae hen. Mulk garib awam se bante hen. Aur sanwarte bi usi se hen agr un ka khayal rakha jae. Angrezon se aazadi hasil karke hum apno ki qaid main qaid hogae. Hamara kiya hoga? Kiya ese mulk ziyada der tak zinda reh sakte hen. Hum ko inqlab ka intzar nahin inqlab lana he. Esa inqlab jis se sari zamin aik ho jae. Mulk to hon mgr sarhden na hon. Sb ki haisiyat barabri wali ho.
© Copyright 2010 Jawed Samaan (kahaniyan at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1726869-NAI-ZAMIN-KA-KHOWAB-IN-URDU